Sent Date |
Message
|
08-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
233. kisi shakhs ko es ki taqat se ziyada takleef nhn di jaati to yaad rakho keh nah to maa'n ko us kai bachai kai sa'bab nuqsaan pahunchaya jayai aur nah baap ko us ki aulaad ki waja se nuqsaan pahuchaya jayai, aur esi tarha naan nufqa bachai kai waris kai zimmai hai, aur agar dono'n yeni maa'n baap aapis ki razamandi aur salah se bachai ka doodh chhurwana chahain tu un per kucch gunah nhin... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
07-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
233. aur ma'aen apnay bacho'n ko purai do saal doodh pilayen yeh hukam us shakhs k liyai hai jo puri muddat tak doodh pilana chahai aur doodh pilanai wali ma'aon ka khana aur kapra dastoor kai mutabiq baap kai zimmai ho ga,.. [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
06-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
232. es hukam se us shakhs ko nasihat ki jaati hai jo tum main Allah aur rozai aakhrat per yaqeen rakhta hai, yeh tumharai liyai nahayet khoob aur bahut pakizgi ki baat hai, aur Allah janta hai aur tum nhin jantai.
www.haqvoice.com/sms |
05-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
232. Aur jab tum aurto'n ko talaaq dai chuko aur unki iddat puri ho jayai aur unko apne shohro'n kai saath jab wo aapis main jayez taor per razi ho jayain nikah kernai se mat roko... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
03-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
231. aur jo aisa karai ga wo apna he nuqsan karai ga aur Allah kai ahkaam ko hansi aur khail na banao aur Allah ne tum ko jo ne'amtain bakhshi hain aur tum per jo kitaab aur danaye ki batain nazil ki hain jin se wo tumhain nasihat fermata hai unko yaad karo aur Allah se dartai raho aur jaan rakho keh Allah her cheez se waqif hai.
www.haqvoice.com/sms |
02-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
231. aur jab tum aurto'n ko do dafa talaaq dai chuko aur un ki eddat puri ho jayai tu unhain ya tu husne salook se nikah main rehne do ya ba'tareeq sha'esta rukhsat ker do aur es niyat se unko nikah main nah rehne dayna chahyeh keh unhain taklef do aur un per ziyati karo.... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
01-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
230. haan agar dosra khawand bhe talaaq de dai aur aurat aur pehla khawand phir aik dosray ki tarf rajuh ker layn to un per kuchh gunah nhin bshartaykeh dono'n yaqeen karain keh Allah ki hado'n ko qayem rakh sakain gai aur yeh Allah ki hadayn hain en ko wo un logo'n kai liyeh biyan farmata hai jo elam rakhtay hain,
www.haqvoice.com/sms |
30-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
230. Phir agar shohar do talaaq'on kai ba'ad tesri talaaq aurat ko de dai, to uskai ba'ad jab tak aurat kisi dosrai shakhs se nikah na ker lai us pehlai shohar per halaal na hogi .... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
29-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
229. haan agar biwi ya shohar ko yeh khowf ho keh wo Allah ki hado'n ko qayem nhin rakh skain gai to agar aurat khawand kai haath se rihae panai kai badlai main kucch dai dalai to dono'n per kucch gunah nhin yeh Allah ki muqar'ar ki hovi hadain hain. en sai bahir na nikalna, aur jo loag Allah ki hado'n se bahir nikal jayein gai wo gunahgaar hain.
www.haqvoice.com/sms |
28-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
229. Talaaq sirf do baar hai yehni jab do dafaa talaaq dai di jayee to phir aurto'n ko ya to ba'tareeq sha'ista nikah main rehnai dayna hai ya bhlayi kai saath chhor dayna hai, aur yeh jayez nhin keh jo mehr tum unko dai chukai ho us main se wapis lay lo..... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
27-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
228. aur en kai khawand agar phir muwafqat chahain to es muddat main wo en ko apni zowjiyyat main lai laine kai ziyada haqdaar hain aur aurto'n ka haq mardo'n per waysa he hai jaise dastoor kai mutabiq mardo'n ka haq aurto'n per hai, Albatta mardo'n ko aurto'n per aik darja fazilat hai, aur Allah ghalib hai, sahibay hikmat hai.
www.haqvoice.com/sms |
26-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
228. aur talaaq wali aurtain teen hayez tak apnai apko rok kai rakhain aur agar wo Allah aur rozai qiyamat per aimaan rakhti hain to unko jayez nhin keh Allah ne jo kucch bhe unkai shikam main payda kiya hai usko chhupayain ..... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
24-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2
226. aur jo loag apni aurto'n kai paas janai ki qasam kha lain, unko chaar mahinai tak ka intizaar kerna chahyai agar es arsai main qasam se rajuo ker lain tu Allah bakshne wala mehrbaan hai.
227. aur agar talaaq ka irada ker layn tu bhe Allah sunta hai, janta hai.
www.haqvoice.com/sms |
21-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2
225. Allah tumhari lughv qasmo'n per tum se muakhza nhin karai ga, laikan jo kasmain tum qasd dili se khao gai un per muakhza karai ga aur Allah bakhshne wala hai, burdbar hai.
www.haqvoice.com/sms |
20-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2
224. Aur Allah kai naam ko es baat ka heela na bna layna keh us ki qasmain kha kha ker salook kernai aur perhaizgari kernai aur logo'n main sulah-o-sazgari karanai se ruk jao, aur Allah sab kucch sunta hai, janta hai.
www.haqvoice.com/sms |
18-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2
223. tumhari aurtain tumhari khhaity hain to apni khyti main jis tarha chaho jao, aur apnai liyai nayk amal aagai bhejo aur Allah se dartai raho aur jaan rakho keh aik din tumhain uskai rubaru haazir hona hai aur ae payghambar aiman walo'n ko basharat suna do.
www.haqvoice.com/sms |
17-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2
222. Aur tum se haiz kai barai main daryaaft kertai hain ke'h do wo tu njasat hai so ayyam haiz main aurto'n se kinara kash raho aur jab tak wo paak na ho jayain unse muqarbat na karo, haan jab wo paak ho jayain tu jis tareeq se Allah ne tumhain irshaad farmaya hai, un kai paas jao, kucch shak nhin keh Allah toba kernai walo'n aur paak saaf rehnai walo'n ko dost rakhta hai.
www.haqvoice.com/sms |
16-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
221. Yeh mushrik, logo'n ko dozakh ki tarf bulatai hain, aur Allah apni mehrbani se jannat aur bakshish ki tarf bulata hai aur apnai hukam logo'n se khhoal khhaol ker biyan kerta hai takeh nasihat hasil karain.
www.haqvoice.com/sms |
10-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
221. aur momino'n mushrik aurto'n se jab tak aimaan na layein nikah na kerna, kynkeh mushrik aurat khowah tum ko kaisy he bhali lagai us sai momin londi behtar hai, aur esi tarha mushrik mard jab tak aimaan na layein momin aurto'n ko unki zojiyat main na dayna, kynkeh mushrik khowa tum ko kaisa he bhala lagai, es sai momin ghulam behtar hai... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
09-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2
220. Yehni dunya aur aakhrat ki bato'n main ghoar karo aur tumse yatimo'n kai barai main bhe daryaft kertai hain, keh do keh unki haalat ki islah bahut achha kaam hai , aur agar tum unse mil jul ker rehna yehni kharch ikatha rakhna chaho to wo tumharai bhai hain aur Allah khoob janta hai keh kharabi kernai wala koan hai aur islah kernai wala koan aur Allah chahta to tum ko takleef main dall dayta, bayshak Allah ghalib hai, hikmat wala hai.
www.haqvoice.com/sms |