Sent Date |
Message
|
27-Oct-10 |
Al-Quran P3,S2
260-I. aur jab ibrahim ne Allah se arz kiya keh ayai parwardigaar mujhai dikha keh tu murdo'n ko kynker zinda karai ga, Allah ne farmaya keh kiya tum ne es baat ka yaqin nhin kiya, unho'n ne kaha kyn nhin laykan main dekhna es liyai chahta hn keh mera dil itminaan kammil hasil ker lai...[TBC]
www.haqvoice.com/sms |
25-Oct-10 |
Al-Quran P3,S2
259-III. aur haan gadhai ki hadyo'n ko dekho keh ham en ko kis tarha jorai detai hain, jab yeh waqiyaat us kai mushahidai main ayai to boal utha keh main yaqin kerta hn keh Allah her cheez per qaadir hai.
www.haqvoice.com/sms |
24-Oct-10 |
Al-Quran P3,S2
259-II. Allah ne farmaya keh nhin balkeh so baras marai rahai ho aur apnai khanai penai ki chezo'n ko dekho keh itni muddat main matlaq ga'li sa'ri nhin aur apnai gadhai ko dekho jo mara para hai , gharaz en bato'n se yeh hai keh ham tum ko logo'n k liyai apni qudrat ki nishani banayein...[TBC]
www.haqvoice.com/sms |
20-Oct-10 |
Al-Quran P3,S2
259-I. ya isi tarha us shakhs ko nhn dekha jis ka guzar aisy basty se huwa jo chhatto'n per giri pari thi tu us ne kaha keh Alla es kai bashindo'n ko marne kai ba'ad kynker zinda karai ga, tu Allah ne uski rooh qabaz ker li aur so baras tak usko murda rakha, phir usko zinda kiya aur pochha tum kitna arsa murda parai rahai ho tu usne jawab diya keh ek din ya es se bhe kam...[TBC]
www.haqvoice.com/sms |
19-Oct-10 |
Al-Quran P3,S2
258. bhala tum ne us shakhs ko nhin dekha jo us gharoor kai saba'b se keh Allah ne usko saltanat bakhshi thi, ibrahim se apne parwardigaar kai barai main jhagharne laga, jab ibrahim ne kaha keh mera parwardigaar wo hai jo zindagi deta hai aur moat deta hai, wo bola zindagi aur moat tu main bhe dai sakta hn, ibrahim ne kaha keh Allah tu soraj ko mashraq se nikalta hai, aap usai maghrab se nikaal dijeyai, yeh sunn ker wo kaafir hakka bakka reh giya, aur Allah bay insafo'n ko hadayet nhin diya kerta.
www.haqvoice.com/sms |
18-Oct-10 |
Al-Quran P3,S2
257. Jo loag aimaan layai hain unka dost Allah hai keh andherai se nikaal ker roshni ki taraf lai jata hai aur jo kaafir hain un kai dost shaytaan hain keh unko roshni se nikaal ker andherai main lay jatai hain, yahi loag ahl-e-dozakh hain keh us main hamesha rahain gai.
www.haqvoice.com/sms |
17-Oct-10 |
Al-Quran P3,S2
256. dein Islam main koe zabardasti nhn hai, hadayet saaf toar per zahir aur gumrahi se alag ho chuki hai, to jo shakhs butto'n se aitqaad na rakhai, aur Allah per aimaan layai, us ne aisy mazboot rassi haath main pakar li hai jo kabhi tootne wali nhin aur Allah sab kuchh sunta hai aur sab kucch jaanta hai.
www.haqvoice.com/sms |
16-Oct-10 |
Al-Quran P3,S2
255-III. us ki baadshahi aur ilam asmaan aur zamin sab per haavi hai, aur usai unki hifazat kuchh bhe dushwaar nhn wo bara aali rutba hai, jalil-ul-qadar hai.
www.haqvoice.com/sms |
15-Oct-10 |
Al-Quran P3,S2
255-II. koan hai keh uski ijazat kai beghair us se kisi ki safarish ker sakai, jo kuchh logo'n kai rubaru ho raha hai aur jo kuchh un kai pechhai ho chuka hai usay sab ma'loom hai aur loag us ki ma'loomat main se kisi cheez per dastaras haasil nhn ker saktai, haan jis qadar wo chahta hai usy qadar ma'loom kara deta hai... [TBC]
www.haqvoice.com/sms |
09-Oct-10 |
Al-Quran P3,S2
255-I. Khuda wo ma'bood barhaq hai keh us kai ilawa koe ibadat kai la'eq nhn, zinda hai sab ko thaamne wala hai, usai na oonghh aati hai na neend, jo kuch asmano'n main aur jo kuch zamin main hai, sab usy ka hai... [TBC]
www.haqvoice.com/sms |
08-Oct-10 |
Al-Quran P3,S2
254. Ayai emaan walo jo maal ham ne tum ko diya hai, us main se us din kai anai se pehlai pehlai kharach ker lo jis main na a'maal ka soda ho, aur nah dosti aur safarish ho sakai, aur kufar kernai walai loag zalim hain.
www.haqvoice.com/sms |
07-Oct-10 |
Al-Quran P3,S2
253-III. to un main se ba'az to aimaan lai ayai aur ba'az kafir he rahai aur agar Allah chahta to yeah loag aapis main jang aur qatal na kertai, laikan Allah jo chahta hai kerta hai.
www.haqvoice.com/sms |
06-Oct-10 |
Al-Quran P3,S2
253-II. aur Isa ibne Maryam ko ham ne khuli hovi nishaniyan ata kein, aur roohul qudus se unko madad di, aur agar Allah chahta tu unse pichhlai loag apne paas khuli nishaniyan anai kai ba'ad apis main na lartai, laikun unho'n ne ikhtilaaf kiya.... [TBC]
www.haqvoice.com/sms |
05-Oct-10 |
Al-Quran P3,S2
253-I. Yeah Payghamber jo ham waqtann fo-waqtann bhejtai rahai en main se ham ne ba'az ko ba'az per fazilat di hai, ba'az aisai hain jin se Allah ne guftagu ki aur ba'az kai dosrai amoor main martabai buland kyai... [TBC]
www.haqvoice.com/sms |
03-Oct-10 |
Al-Quran P2,S2
252. Yeh Allah ki ayetain hain jo ham tum ko sachaye kai saath parh ker sunatai hain aur ae Muhammad (PBUH) tum bila shuba payghambro'n main se ho.
www.haqvoice.com/sms |
02-Oct-10 |
Al-Quran P2,S2
251. to taloot ki foaj ne Allah kai hukam se unko shakist dai di aur daood ne jaloot ko qatal ker dala, aur Allah ne unko badshahi aur danae bakhshi aur jo kuchh chaha unko sikhaya. aur agar Allah logo'n ko aik dosrai per charhae aur hamla kerne se na rokta rehta tu kurrah-e-arz tabah ho jata. laikan Allah ahlai aalam per bara mehrbaan hai.
www.haqvoice.com/sms |
01-Oct-10 |
Al-Quran P2,S2
250. Aur jab wo loag jaloot aur uskai lashkar kai muqabil main ayai tu Allah se dua ki keh ham per sabar kai dahane khoal dai aur hamain larae main sabit qadam rakh aur lashkar kuffar per fatahyaab ker.
www.haqvoice.com/sms |
30-Sep-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part III]
249. jo loag yaqin rakhtai thai keh unko Allah kai ru,baru hazir hona hai wo kehnai lagai keh ba'saa aoqaat thori c jama'at ne Allah kai hukam se bari c jama'at per fatah hasil ki hai aur Allah sabit qadam rehne walo'n kai saath hai.
www.haqvoice.com/sms |
29-Sep-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
249. haan ager koe haath se chullo bhar paani lai lay to khair, jab wo loag nehr per pahunchai tu chand admiyo'n kai siwa sab ne paani pi liya, phir jab taloot aur momin loag jo uskai saath thai nehr kai paar ho gaye to kehnai lagai, aaj ham main jaloot aur uskai lashkar se muqabila kerne ki taqat nhin.. [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
28-Sep-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
249. gharz jab taloot foajain lai ker rawana huwa to usne un se kaha keh Allah ek nehr se tumhari azmayesh kernai wala hai, jo shakhs es main se pani pi lay ga uski nisbat tasawar kiya jaye ga keh wo mera nhn, aur jo nah piyai ga wo samjha jayai ga keh mera hai... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |