Sent Date |
Message
|
27-Sep-10 |
Al-Quran P2,S2
248. Aur paghamber ne un se kaha keh un ki yehni taloot ki badshahi ki nishani yeh hai keh tumharai paas wo sandooq ae ga jis ko farishtai uthae hova hn gai, us main tumharai parwardigaar ki taraf se tasalli bakhshne wali cheez ho gi, aur kucch aur cheezein bhe hn gi jo musa aur haroon chhor gaye thai, agar tum aimaan rakhtai ho tu yeh tumharai liyai bari nishani hai.
www.haqvoice.com/sms |
26-Sep-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
247. Payghamber ne kaha keh Allah ne usko tum per fazilat di hai aur badshahi kai liyai muntakhib fermaya hai, us ne usai ilam bhe bahut sa bakhsha hai aur tano-tosh be bara ataa kya hai aur Allah ko ikhtiyar hai jisai chahai badshahi bakhshay, wo bara kashayesh wala hai aur dana hai.
www.haqvoice.com/sms |
25-Sep-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
247. Aur payghamber ne unse yeh bhe kaha keh Allah ne tum per taloot ko badshah muqar'ar fermaya hai, wo bolay keh usay ham per badshahi ka haq kynker ho sakta hai, us se barh kar badshahi kai mustahiq to ham hain aur us kai paas tu bahut se doalat bhe nhin... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
03-Aug-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part III]
246. phir jab unko jihaad ka hukam diya giya to, chand ashkhaas kai siwa sab phhir gaye, aur Allah zalimo'n se khoob waqif hai.
www.haqvoice.com/sms |
02-Aug-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
246. payghamber ne kaha keh agar tum ko jihaad ka hukam diya jaye tu aisa tu nhin keh larne se pehlai pehlo tahi karo gai, wo kehne lagai keh Allah ki rah main kyn na larain gain, jab keh ham watan se kharij aur baal bacho'n se juda ker diyai gaye... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
01-Aug-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
246. Bhala tum ne bni israeel ki ek jamaat ko nhn dekha jis ne musa kai ba'ad apne payghamber se kaha keh aap hamare liyai ek baadshah muqar'ar ker dain takeh ham Allah ki rah main jihaad karein,.. [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
31-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2
245. Koan hai keh Allah ko qarz-e-hasna dai keh wo uskai badlai es ko kae gunah ziyada dai, aur Allah he rozee ko tang kerta aur wohi usai kushada kerta hai aur tum usi ki tarf loat ker jao gai.
www.haqvoice.com/sms |
29-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2
244.Aur muslimano'n Allah ki rah main jihaad karo aur jaan rakho keh Allah sab kuchh sunta hai, sab kuchh jaanta hai.
www.haqvoice.com/sms |
28-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2
243.Bhala tum ne un logo'n ko nhin dekha jo shumaar main hazaro'n he thai aur moat kai dar se apne gharo'n se nikal bhagai thai to Allah ne unko hukam diya keh mar jao phir unko zinda bhe ker diya, kuchh shak nhin keh Allah logo'n per mehrbani rakhta hai, laikan aksar loag shukar nhin kertai.
www.haqvoice.com/sms |
27-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2
241.aur mutal'iqa aurto'n ko bhe dastoor kai mutabiq naan-o-nufqa dayna chahyai, perhaizgaro'n per yeh haq hai.
242. esi tarha Allah apne ahkaam tumharai liyai biyaan fermata hai, takeh tum samjho
www.haqvoice.com/sms |
26-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2
240. Aur jo loag tum mein se ma'r jayen aur aurtain chhor jayen, wo apni aurto'n kai haq main wasiyat ker jayen keh unko aik saal tak kharch diya jaye aur ghar se na nikali jayen, haan agar wo khud ghar se chali jayen aur apne haq main pasandidah kaam yehni nikah ker layn to tum per kuchh gunah nhin aur Allah zabardast hai hikmat wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
25-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2
239. Phir agar tum khoaf ki haalat main ho, tu paydal ya sawaar jis haal main ho nimaaz parh lo phir jab amn wa atminaan ho jayai to jis tareeq se Allah ne tum ko sikhaya hai jo tum nhin jantai thai, Allah ko yaad karo.
www.haqvoice.com/sms |
23-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2
238. Muslimano'n sab nimazein khasusann beich ki nimaz yehni nimaz-e-asar purai ehtammam kai saath adaa kertai raho aur Allah kai aagai adab se kharai raha karo.
www.haqvoice.com/sms |
22-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
237. aur agar tum mard loag he apna haq chhor do to yeh perhaizgari ki baat hai aur aapis main bhalaye kernai ko framosh na kerna, kuchh shak nhin keh Allah tumharai sab kamo'n ko dekh raha hai.
www.haqvoice.com/sms |
21-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
237. aur agr tum aurto'n ko unkai paas jaanai se pehlai talaaq dai do laikan mehr muqa'ar ker chukai ho tu aadha mehr dayna ho ga, haan ager aurtain mehr bakhsh dain, ya mard jin kai haath main aqad nikah hai apna haq chhor dain aur pura mehr dai dain to unko ikhtiyaar hai... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
19-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2
236. aur agar tum aurto'n ko un kai pass janai ya unka mehr muqar'ar kernai se pehlai talaaq dai do to tum per kuchh gunah nhn, haan unko dastoor kai mutabiq kuchh kharach zaroor do yehni maqdoor wala apne maqdoor kai mutabiq dai aur tangdast apni haysiyat kai mutabiq, nayk logo'n per yeh aik tarha ka haq hai.
www.haqvoice.com/sms |
18-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
235. magar ayyam-e-iddat main es kai siwa keh dastoor kay mutabiq koe baat keh do, posheda tor per unse qowl o qrar na kerna, aur jab tak iddat puri na ho lay nikah ka pukhta irada na kerna aur jaan rakho keh jo kuchh tumharai dilo'n main hai Allah ko sab maloom hai tu es sai dartai raho aur jaan rakho keh Allah bakhshne wala hai, ilam wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
16-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
235. agr tum ishaare kanaye ki bato' n main aurto'n ko nikah ka payghaam bhejo ya nikah ki khowahish ko apne dilo'n main makhfi rakho tu tum per kuchh gunah nhin. Allah ko maloom hai keh tum unse nikah ka zikar karo gay... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
13-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2
234. aur jo loag tum mein se mar jayein aur aurtain chhor jayein to aurtain chaar mahinai aur das din apne aap ko rokai rahain aur jab yeh iddat puri ker chukain aur apne haq main pasandidah kaam yehni nikah ker layn to tum per kuchh gunah nhn aur Allah tumharai sab kamo'n se waqif hai.
www.haqvoice.com/sms |
12-Jul-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part III]
233. aur agar tum apni aulaad ko doodh pilwana chaho tu tum per kuchh gunah nhin bashartaykeh tum doodh pilanai waliyon ko dastoor kai mutabiq unka haq jo tum ne dayna kiya tha dai do, aur Allah se dartai raho aur jaan rakho keh jo kuchh tum kertai ho Allah usko daykh raha hai.
www.haqvoice.com/sms |