Sent Date |
Message
|
08-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2
219. Ae payghamber loag tumse sharaab aur juvai ka daryaft kertai hain, keh do en main gunah barai hain, aur logo'n k liyai kuchh fa'iday bhe hain, magar en kai gunah fa'ido'n se kahin ziyada hain, aur yeh bhe tumse pochhtai hain keh Allah ki rah main konsa maal kharch karain, keh do kai jo zarurat se ziyada ho, es tarha Allah apne ahkaam khhoal khhoal ker biyan fermata hai takeh tum socho.
www.haqvoice.com/sms |
07-Jun-10 |
Al-Quran P2,S2
218. Aur jo loag aimaan layai Aur Allah k liyai watan chhoar gayai aur kuffaar se jang kertai rahai, wohi Allah ki rehmat kai umidwar hain aur Allah bakhshne wala hai, rehmat kernai wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
31-May-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
217. aur fitna angaizi khoan raizi se bhe barh ker hai, aur yeh loag hamesha tumse lartai rahain gai, yahan tak keh agar maqdor rakain to tum ko tumharai dein se phair dain, aur jo koe tum main se apnai dein se phir ker kafir ho jayai ga aur kafir he marai ga to aisai logo'n kai amal dunya aur akkhrat dono'n main barbaad ho jayain gai aur yahi loag dozakh main janai walai hain, jis main hamesha rahain gai.
www.haqvoice.com/sms |
30-May-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
217. Ae payghamber loag tumse izzat walai mahino'n main larae kernai kai barai main daryaft kertai hain, kaeh do keh en main larna bara gunah hai, aur Allah ki rah se rokna, aur us sai kufr karna aur masjid haram yehni khana ka'aba janai se band kerna aur ehlai masjid ko es main se nikaal dayna jo yeh kuffaar kertai hain, Allah kai nazdik es sai bhe ziyada gunah hai,.. [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
28-May-10 |
Al-Quran P2,S2
216. Muslimano'n tum per Allah kai rastai main larna farz ker diya giya hai aur wo tumhain naagwar to ho ga magar ajab nhin keh aik cheez tum ko buri lagai aur wo tmharai haq main bhali ho, aur ajab nhn keh aik cheez tum ko bhali lagai aur wo tumharai liyai muzir ho aur en bato'n ko Allah he behtar janta hai aur tum nhn jantai.
www.haqvoice.com/sms |
27-May-10 |
Al-Quran P2,S2
215. Ae nabi loag tum se pochtai hain keh Allah ki rah main kis tarha ka maal kharch karain, keh do keh jo chaho kharch karo laikan jo maal kharch kerna chaho wo darja ba darja ahlai istehqaaq yehni maan baap ko aur qarib kai rishta daro'n ko aur yatimo'n ko aur muhtajo'n ko aur musafiro'n ko, sab ko do aur jo bhalae tum karo gai Allah usko janta hai.
www.haqvoice.com/sms |
26-May-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
214. Yahan tak keh payghamber aur momin loag jo un kai saath thai, sab pukaar uthai keh kab Allah ki maddad ae gi, dekho Allah ki maddad anqareeb ayai gi.
www.haqvoice.com/sms |
20-May-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
214. kiya tum yeh khiyaal kertai ho keh yunhi behshat main dakhal ho jao gai, aur abhi tum ko pehlai logo ki c mushkalain tu paysh ae he nhn, unko bari bari sakhtiyan aur taklifein pahunchi aur wo saaobto'n main hala hala diyai gae... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
19-May-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
213. aur es main ikhtilaaf bhe unhi logo'n ne kiya jin ko kitaab di gayee thi bawajood yeh keh unkai paas khulai hovai ahkaam aa chukai thai, aur yeh ikhtilaaf unho'n ne aapis ki zid se kiya tu jis amre haq main wo ikhtilaaf kertai thai Allah ne apni mehrbani se momino'n ko uski raah dikha di aur Allah jis ko chahta hai sidha rasta dikha daita hai.
www.haqvoice.com/sms |
15-May-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
213. Pehlai tu sab logo'n ka aik he mazhab tha laikan wo aapis main ikhtilaaf kerne lagai tu Allah ne unki taraf basharat dainai walai aur dar sunanai walai payghamber bhejai aur un per sacha'e k saath kitabain nazal kein takeh jin amoor per loag ikhtilaaf kertai thai unka un main faisla ker dai... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
14-May-10 |
Al-Quran P2,S2
212. aur jo kafir hain un kai liyai dunya ki zindagi khkushnuma ker di gae hai aur wo momino'n se tmaskhar kertai hain laikan jo perhaizgaar hain wo qiyamat kai din unse oper hon gai aur Allah jisko chahta hai bay hisaab rizq daita hai.
www.haqvoice.com/sms |
12-May-10 |
Al-Quran P2,S2
211. Ae payghamber bani israel se pochho keh ham ne unko kitni khuli nishaniyan dein aur jo shakhs Allah ki niamat ko apne paas aanai k ba'ad badal dai tu Allah sakht azab kerne wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
11-May-10 |
Al-Quran P2,S2
210. Kiya yeh loag eci baat k muntazir hain keh un per Allah k azab badal kai saibano'n main aa nazil ho aur farishtay bhe utar ayein aur kaam tamaam ker dia jayai, aur sab kamo'n ka rajou Allah ki taraf hai.
www.haqvoice.com/sms |
10-May-10 |
Al-Quran P2,S2
208. Momino Islam main purai purai dakhal ho jao aur shaytan k pichai na chalo, wo tu tumhara khula dushman hai.
209. Phir agar tum ahkaam roshan pahunch janai k ba'ad larkhara jao tu jaan rakho keh Allah ghalib hai, hikmat wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
09-May-10 |
Al-Quran P2,S2
206. Aur jab us sai kaha jata hai keh Allah se khoaf ker tu gharoor usko gunah main phansa dayta hai so usko jahannum kafi hai aur wo bahut bura thikana hai.
207. aur koe shakhs aisa hai keh Allah ki khushnodi hasal kerne k liyai apni jaan baich dalta hai, aur Allah bando per bahut mehrbaan hai.
www.haqvoice.com/sms |
08-May-10 |
Al-Quran P2,S2
205. aur jab peeth phair ker chala jata hai tu zamin main dorta phirta hai takeh us main fitna angazi karai, aur khhaiti ko barbaad aur insano'n aur haywano'n ki nasal ko nabood ker dai aur Allah fitna angazi ko pasand nhin kerta.
www.haqvoice.com/sms |
07-May-10 |
Al-Quran P2,S2
204. aur koe shakhs tu aisa hai jiss ki guftagu dunya ki zindagi main tum ko dilkash maloom hoti ho aur maa fiz-zamir per yehni us baat per jo uskai dil main hai Allah ko guwa banata hai, halankeh wo sakht jhaghralo hai.
www.haqvoice.com/sms |
03-May-10 |
Al-Quran P2,S2
203. aur qayaam ma'na k dino main jo ginti k din hain Allah ko yaad karo, agar koe jaldi karai aur do he din main chal dai to us per bhe kuchh gunah nhin, aur jo ba'ad tak thehra rahai us per bhe kuchh gunah nhin. yeh batain us shakhs k liyai hain jo Allah se darai aur tum loag Allah se dartai raho aur jaan rakho keh tum sab us kai paas jama' kiyai jao gai.
www.haqvoice.com/sms |
02-May-10 |
Al-Quran P2,S2
202. Yahi loag hain jin k liyai un kai kamo'n ka hissa yehni ajar nayk tayyar hai aur Allah jald hisab laynai wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
01-May-10 |
Al-Quran P2,S2
201. Aur ba'az aisay hain keh dua kertai hain keh perwardigaar ham ko dunya main bhe ne'amat ata farma aur akhrat main bhe ne'amat bakhshio aur dozakh k azaab se mehfooz rakhio.
www.haqvoice.com/sms |