Become a member of HaqVoice Mobile SMS

  • Its Free. Just for the sake of Allah Almighty.
  • Receive Daily Ayat via SMS
  • Select you desired language fot SMS
  • Subcribe for Quran and Hadith
  • We'll never share your Phone and email with anyone.

Note: Quran Ayat via SMS is available in Pakistan Only.
 
 
   
 
Sent Date
Message
09-Mar-10 Al-Quran P2,S2
183. Momino tum per rozai farz kiyai gayai hain jis tarha tum se pehlai logo'n per farz kiyai gayai thai, takeh tum perhaizgaar bano.
www.haqvoice.com/sms
04-Mar-10 Al-Quran P2,S2
182. Ab agar kisi ko wasiyat kernai walai ki taraf se, kisi waaris ki taraf dari ya haq talfi ka andesha ho to agar wo wasiyat ko badal kar warisoo'n main sulah karaa dai tu us per kucch gunah nhin bayshak Allah bakhshnai wala hai reham wala hai.
www.haqvoice.com/sms
02-Mar-10 Al-Quran P2,S2
181. Phir jo shakhs wasiyat ko sun'anai k ba'ad usko badal daalay tu uskai badalnai ka gunah usy shakhs per hai jo us ko badlain aur bayshak Allah sunta, janta hai.
www.haqvoice.com/sms
24-Feb-10 Al-Quran P2,S2
180. Tum per farz kiya jaata hai keh jab tum main se kisi per moat ka waqt aa jata hai tu ager wo kucch maal chor ker jaanai wala ho tu maan baap aur rishta daroon k liyai dastoor kay mutabiq wasihat ker jayai, Allah se darne walon per yeh aik haq hai.
www.haqvoice.com/sms
23-Feb-10 Al-Quran P2,S2
179. Aur ae ahlai aqal, hukam qasaas main tumhari zindgaani hai keh tum qatal -o- khoon raizy se bacho.
www.haqvoice.com/sms
22-Feb-10 Al-Quran P2,S2 [Part III]
178. Yeh tumharai perwardigaar ki taraf se tumharai liyeh aasani aur mehrbaani hai ab jo es k baad ziyati karai uskai liyeh dukh ka azab hai.
www.haqvoice.com/sms
21-Feb-10 Al-Quran P2,S2 [Part II]
178. aur agar qatil ko uskai maqtool bhai kai qasaas main say kucch muaaf ker diya jayai tu waris maqtool ko pasandidah tareeq say qaraar daad ki payrvi yehi mutaaliba khoon bahaa kerna aur qaatil ko khush khoe kai saath ada kerna chahyeh.... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms
20-Feb-10 Al-Quran P2,S2 [Part I]
178. Momino! tum ko maqtolo'n kay barai main qasaas yehni khoon k badlai khoon ka hukam diya jaata hai, es tarha keh azaad k badlai azaad mara jayai aur ghulaam k badlai ghulaam aur aurat k badlai aurat... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms
19-Feb-10 Al-Quran P2,S2 [Part III]
177. aur jab ehd ker layn tu usko poora karain aur sakhti aur takleef main aur jang k waqt saabit qadam rahain, yahi loag hain jo aimaan main sachai hain aur yahi hain jo Allah se darne walai hain.
www.haqvoice.com/sms
18-Feb-10 Al-Quran P2,S2 [Part II]
177. aur maal bawajood aziz rakhne k rishta daro'n aur yatimo'n aur mohtajo'n aur musafiro'n aur mangnai walo'n ko dain aur gardano'n k chhuraanain main madad karain aur namaz parhain aur zakaat dayn.. [to be continue]
www.haqvoice.com/sms
16-Feb-10 Al-Quran P2,S2 [Part I]
177. Nayki yahi nhin keh tum mashariq aur maghrib ko qibla samajh ker unki taraf moh'n ker lo, balkeh nayki yeh hai keh loag Allah per, rozai aakher per aur farishton per aur Allah ki kitab per aur payghambro'n per aimaan layein. [to be continue]
www.haqvoice.com/sms
10-Feb-10 Al-Quran P2,S2
176. Yeh es liyeh keh Allah ne kitab sachaye k saath nazil fermaye, aur jin logo'n ne es kitab main ikhtilaaf kiya wo zid main aaker nayki se door ho gaye.
www.haqvoice.com/sms
09-Feb-10 Al-Quran P2,S2
175. Yeh wo loag hain jinho'n ne hadayet chhor ker gumrahi aur bakshash chhor ker azab kharid liya, yeh jahannum ki aag ko kayse bardasht karain gay.
www.haqvoice.com/sms
08-Feb-10 Al-Quran P2,S2
174. Jo loag Allah ki kitab se un ayeto'n ko aur hadayeto'n ko jo us nay nazil fermaye hain, chhupatay aur un kay badlay thori sy qimat yehni dunyavi manfa'at haasil kertay hain wo apnay payto'n main aag bhartay hain, aisay logo'n se Allah qiyamt kay din na kalaam karay ga aur na unko gunaho'n se pak karay ga aur unkay liyai dukh daynai wala azab hai.
www.haqvoice.com/sms
05-Feb-10 Al-Quran P2,S2
173. us nay tu tum per mara hova jaanwar aur lahu aur soor ka gosht aur jis cheez per Allah kai siva kisi aur ka naam pukara jayee haram ker diya hai, haan jo majboor ho jayee bshartaykeh Allah ki nafarmani na karai aur haddai zaroorat se bahir na nikal jayee us per kuchh gunah nhin bayshak Allah bakhshne wala hai, reham kernai wala hai.
www.haqvoice.com/sms
04-Feb-10 Al-Quran P2,S2
172. Ae ahle aimaan jo pakeza chezien ham ne tum ko ata fermaye hain unko khao aur agar Allah he kay bandai ho tu uski nem'aton ka shukar bhe ada karo.
www.haqvoice.com/sms
03-Feb-10 Al-Quran P2,S2
171. Jo loag kafir hain unki misaal us shakhs ki c hai jo kisi aise cheez ko awaz dai, jo awaz aur pukaar k siwa kuchh sunn na sakai yeh behray hain gongay hain aur andhai hain keh kucch samajh he nhin saktai.
www.haqvoice.com/sms
02-Feb-10 Al-Quran P2,S2
170. Aur jab en logo'n se kaha jata hai keh jo kitab Allah ne nazil farmaye hai uski pairvi karo tu kehtai hain keh nhin balkeh ham tu usi cheez ki pairvi karain gai jis per ham ne apne baap dada ko paya, bhala agarcheh unkay baap dada na kuchh samajhtai hn aur na sidhay rastai per hn tab bhe wo unhi ki taqleed kiyai jayain gay.
www.haqvoice.com/sms
01-Feb-10 Al-Quran P2,S2
169. wo to tum ko burae aur bayhiyae k kaam kernai ko kehta hai aur yeh bhe kehta hai keh Allah ki nisbat aisy batain kahoo jinka tumhain kuchh bhe ilam nhn.
www.haqvoice.com/sms
31-Jan-10 Al-Quran P2,S2
168. Logo jo chezein zamin main halaal tayyab hain wo khao, aur shaytan k qadmo'n per na chalo aur wo tumhara khula dushman hay.
www.haqvoice.com/sms