Sent Date |
Message
|
30-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2
200. Phir jab hajj k tamam arkaan purai ker chuko to ma'naa maim Allah ko yaad karo jiss tarha apnai baaq dada ko yaad kertai thai balkeh us sai bhe ziyada aur ba'az loag aisai hain jo Allah se iltijaa kertai hain keh ae perwardigaar ham ko jo dayna hai dunya main he dai de aur aisai logo'n ka akhrat main kucch hissa nhn.
www.haqvoice.com/sms |
29-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2
199. Phir jahaan se aur loag wapis hon wahin se tum bhe wapis ho aur Allah se bakshish maango, bayshak Allah bakhshne wala hai rehmat karnai wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
27-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2
198. Es ka tumhain kucch gunah nhin keh hajj k dino'n main bazeria tijarat apne perwardigaar se rozee talab karo aur jab arfaat se wapis honai lago tu mash'ar haram yehni mazdalfa main Allah ka zikar karo aur es tarha zikar karo jiss tarha usne tumko samjhaya aur es sai pehlai tum loag en tariqo'n se mehz nawaqif thai.
www.haqvoice.com/sms |
21-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
197. Aur jo naik kaam tum karo gai wo Allah ko maloom ho jayai ga aur zaad rah yehni rastai ka kharch saath lai jao kynke behtareen zaad rah perhaizgari hai aur ae ahlai aqal mujhi se dartai raho.
www.haqvoice.com/sms |
20-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
197. Hajj k mahinai muayyen hain, jo maloom hain, tu jo shakhs en mahino'n main hajj ki niyat ker lai, tu hajj kai dino'n main nah aurto'n se ikhtilaat karai nah koe bura kaam karai aur nah kisi se jhagrai .... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms |
16-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part III]
196.aur jis ko qurbani nah milai wo teen rozai ayyam hajj main rakhai aur saat jab wapis ho, yeh purai dass hovai, yeh hukm us shakhs kai liyai hai jiss k ahl-o-ayyal makkai main na rehtai hn aur Allah se dartai raho aur jaan rakho Allah sakht azab dainai wala hai.
www.haqvoice.com/sms
|
15-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
196. aur agar koe tum main bi'maar ho ya us kay sar main kisi tarha ki takleef ho, to agar wo sar munda lai tu us kai badlai rozai rakhai, ya sadqa day, ya qurbani karai. phir jab takleef door ho ker tum mutm'in ho jao, to jo tum main hajj k waqt tak umrah say faida uthana chahai, wo jaisy qurbani muyassar ho karai.... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms
|
14-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
196. Aur Allah ki khushnodi k liyai hajj aur umrah ko pura karo, aur agar raastai main rook liyai jao tu jaisi qurbani muyassar ho, ker do. aur jab tak qurbani apnay muqaam per na pahunch jayai sar nah mundao,... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms
|
13-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2
195. Aur Allah ki rah main maal kharch karo aur apne aap ko halakat main nah dalo aur naiki karo, bayshak Allah nayki kernai walo'n ko dost rakhta hai.
www.haqvoice.com/sms
|
11-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2
194. adab ka mahina adab kai mahinai kai muqabil hai, aur adab ki chezein aik dosray ka badla hain, pa's ager koe tum per ziyati karai toa jaisy ziyati wo tum per karai waisy he tum us per karo, aur Allah se dartai raho aur jaan rakho keh Allah darnai walo'n k saath hai.
www.haqvoice.com/sms
|
10-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2
193. aur un se us waqt tak lartai rehna keh fasaad nabood ho jayai aur mulk main Allah he ka dein ghalib ho jayai, phir agar wo fasaad se baaz aa jayain tu zalimo'n k siwa kisi per ziyati nhn kerni chahyai.
www.haqvoice.com/sms
|
08-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2
192. phir aur agar wo baaz aa jayein tu Allah bakhshne wala hai, rehm kernai wala hai.
www.haqvoice.com/sms
|
07-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
191. aur jab tak wo tum se masjad-e-haram yehni khana kaaba kai paas na larain tum bhe waha unse na larna, haan agar wo tum se larain tu tum unko qatal ker dalo, kaafiro'n ki yahi saza hai.
www.haqvoice.com/sms
|
06-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
191. Aur unko jahan pao qatal ker do, aur jahan se unho'n ne tum ko nikala hai, yehni makkai se , wahan se tum bhe unhain nikaal do, aur deen se gumrah kernai ka fasaad qatl-o-khoon raizy se kahin barh ker hai.... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms
|
05-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2
190. Aur jo loag tum se lartai hain, tum bhe Allah ki rah main unse laro, magar ziyati na kerna keh Allah ziyati kernai walo'n ko dost nhn rakhta.
www.haqvoice.com/sms
|
03-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
189. aur nayki es baat main nhin keh ahram ki halat main gharo'n main unkay pichhwarai ki taraf se aao balkeh naykokaar wo hai jo perhaizgaar ho, aur gharo'n main un kai darwazo'n se aaya karo aur Allah se dartai raho takeh kaamyabi pao.
www.haqvoice.com/sms
|
02-Apr-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
189. Ae payghamber loag tum se nai chand k barai main daryaft kertai hain keh ghhat'ta barhta kyn hai, keh do keh wo logo'n k kaamo'n ki mai'yadain aur hajj k waqt maloom honai ka zariya hai.... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms
|
31-Mar-10 |
Al-Quran P2,S2
188. Aur aapis main aik dosrai ka maal na'haq na khao aur na usko rishwatan hakimo'n k paas pahunchao takeh logo'n ka maal ka kucch hissa najayez toar per na kha jao aur usai tum jantai bhe ho.
www.haqvoice.com/sms
|
24-Mar-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part III]
187. Aur jab tum masjido'n main aitkaaf bethtai ho tu unse mubashrat na karo, yeah Allah ki hadain hain en k paas na jana, esi tarha Allah apni ayatain logo'n k samjhanai k liyai khoal khoal ker biyaan fermata hai takeh wo perhezgaar banain.
www.haqvoice.com/sms
|
20-Mar-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
187. to ab tum ko ikhtiyar hai keh un se mubashrat karo. aur Allah ne jo cheez tumharai liyai likh rakhi hai yehni aulaad usko Allah se talab karo aur khao aur piyo yaha'n tak keh subah ki safaid dhaari raat ki siyah dhaari se alag nazar anai lagai, phir roza rakh ker raat tak pura karo..... [to be continue]
www.haqvoice.com/sms
|