Sent Date |
Message
|
05-Feb-10 |
Al-Quran P2,S2
173. us nay tu tum per mara hova jaanwar aur lahu aur soor ka gosht aur jis cheez per Allah kai siva kisi aur ka naam pukara jayee haram ker diya hai, haan jo majboor ho jayee bshartaykeh Allah ki nafarmani na karai aur haddai zaroorat se bahir na nikal jayee us per kuchh gunah nhin bayshak Allah bakhshne wala hai, reham kernai wala hai.
www.haqvoice.com/sms
|
04-Feb-10 |
Al-Quran P2,S2
172. Ae ahle aimaan jo pakeza chezien ham ne tum ko ata fermaye hain unko khao aur agar Allah he kay bandai ho tu uski nem'aton ka shukar bhe ada karo.
www.haqvoice.com/sms
|
03-Feb-10 |
Al-Quran P2,S2
171. Jo loag kafir hain unki misaal us shakhs ki c hai jo kisi aise cheez ko awaz dai, jo awaz aur pukaar k siwa kuchh sunn na sakai yeh behray hain gongay hain aur andhai hain keh kucch samajh he nhin saktai.
www.haqvoice.com/sms
|
02-Feb-10 |
Al-Quran P2,S2
170. Aur jab en logo'n se kaha jata hai keh jo kitab Allah ne nazil farmaye hai uski pairvi karo tu kehtai hain keh nhin balkeh ham tu usi cheez ki pairvi karain gai jis per ham ne apne baap dada ko paya, bhala agarcheh unkay baap dada na kuchh samajhtai hn aur na sidhay rastai per hn tab bhe wo unhi ki taqleed kiyai jayain gay.
www.haqvoice.com/sms
|
01-Feb-10 |
Al-Quran P2,S2
169. wo to tum ko burae aur bayhiyae k kaam kernai ko kehta hai aur yeh bhe kehta hai keh Allah ki nisbat aisy batain kahoo jinka tumhain kuchh bhe ilam nhn.
www.haqvoice.com/sms
|
31-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2
168. Logo jo chezein zamin main halaal tayyab hain wo khao, aur shaytan k qadmo'n per na chalo aur wo tumhara khula dushman hay.
www.haqvoice.com/sms
|
30-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2
167. Yeh haal daykh ker pairvi kernai walai hasrat se kahain gay keh ae kaash hamain phir dunya main jana nasib ho, takeh jis tarha yeh ham se bayzaar ho rahai hain esi tarha ham bhe en say bayzaar hon, esi tarha Allah un k a'amal hasrat bana ker dikhaye ga aur wo dozakh se nikal nhin sakain gay.
www.haqvoice.com/sms
|
29-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2
166. Us din kufar kay payshwa unse bayzari zahir karain gai jin ki wo payrvi kertay thai, aur dono'n azab-e-ilahi daykh lain gay aur unkay aapis kai ta'alluqat munqata ho gayein gay.
www.haqvoice.com/sms
|
28-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2
165. Aur ba'az loag aisay hain jo ghairullah ko Allah ka shareek bnatay aur un ko Allah ki si mohabbat kertay hain laykan jo aiman walay hain wo tu Allah he kay sab se ziyada dostdar hain aur ae kash zalim loag jo baat azab k waqt daykhain gay ab daykh laytai keh sab tarha ki taqat Allah he ko hay aur yeh keh Allah sakht azaab kernay wala hay.
www.haqvoice.com/sms
|
25-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part II]
164. aur barish main jis ko Allah asman se barsata hai aur es se zamin ko murdah ho janai k ba'ad zindah yehni khushk ho janai k ba'ad zinda ker dayta hai, aur zamin per har qisam kay janwar phailanay main aur hawaon kay chalanay main aur badilon main jo asmano'n aur zamin kay darmiyan ghhiray rehtay hain, aqalmando'n k liyeh Allah ki qudrat ki nishaniyan hain.
www.haqvoice.com/sms
|
22-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2 [Part I]
164. Bayshak asmano'n aur zamin k payda kernai main aur raat aur din kay aik dosray kay pechai aanai janai main aur kashtiyon aur jahazo'n main jo samander main logo'n k faiday k liyeh rawan hain.[to be continue]
www.haqvoice.com/sms
|
21-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2
163. Aur logo tumhara ma'bood aik he hai, es barai mehrbaan aur rehm walai k siwa koe ibadat k layeq nhin.
www.haqvoice.com/sms
|
20-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2
162. Wo hamesha esi la'nat main gariftar rahain gay, unse na tu azab halka kiya jayai ga aur na unhain kuchh mohlat milai gi.
www.haqvoice.com/sms
|
19-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2
161. Jo loag kafir hovai aur kafir he marai aiso'n per Allah ki, aur farishto'n ki aur insano'n ki sab ki la'nat.
www.haqvoice.com/sms
|
14-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2
160. Haan jo toba kertai hain aur apni haalat darust ker laytai aur ahkaam-e-ilahi ko saaf saaf biyan ker daiytai hain to main unkai qasoor muaaf ker dayta hn aur main bara muaaf kernai wala, bara mehrbaan hn.
www.haqvoice.com/sms
|
13-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2
159. Jo loag hamarai hukmo'n ko aur hadayeto'n ko jo ham ne nazal ki hain, kisi gharz fasad se chhupatai hain bawajood es kai ham ne un logo'n ko samjhanai k liyei apni kitab main khol khol ker biyaan ker diya hai aiso'n per Allah aur tamaam la'nat kernai walay la'nat kertai hain.
www.haqvoice.com/sms
|
12-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2
158. Bayshak kohay safa aur marva Allah ki nishaniyon main se hain, tu jo shakhs khana kaaba ka hajj ya umrah karai us per kuchh gunah nhin keh dono per chakkar lagayai balkeh yeah eik nayk kaam hai aur jo koe nayk kaam karai tu Allah qadardaan aur danaa hai.
www.haqvoice.com/sms
|
11-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2
157. Yahi loag hain jin per unkai parwardigaar ki anayetain hain aur khasusy rehmat bhe hai aur yahi sidhai rastai per hain.
www.haqvoice.com/sms
|
09-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2
155. Aur ham kisi qadar khoaf aur bhook aur maal aur janoo'n aur maywo'n k nuqsaan se tumhari azmayesh karain gay, aur sabar kernai walo'n ko basharat suna do.
156. keh en logo'n per jab koe musibat waqeh hoti hai tu kehtay hain ham Allah he ka maal hain aur usi ki taraf loat ker janai walai hain.
www.haqvoice.com/sms
|
08-Jan-10 |
Al-Quran P2,S2
154. Aur jo loag Allah ki rah main maray jayein unki nisbat yeh na kehna wo marrai hovai hain wo murda nhin balkeh zinda hain laikun tum ko sha'oor nhin.
www.haqvoice.com/sms
|