Sent Date |
Message
|
13-Jan-11 |
Al-Quran P3,S3
4. yeh do kitabain us ne pehlai nazil ki thein logo'n ki hadayet kai liyai aur phir Quran jo haq aur baatil ko alag alag ker dainay wala hai nazil kiya, jo loag Allah ki ayato'n ka inkaar kertai hain unko sakht azaab ho ga, aur Allah zabardast hai badla lainay wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
12-Jan-11 |
Al-Quran P3,S3
3. us ne ae nabi tum per sachi kitaab nazil ki jo pehly asmani kitabo'n ki tasdeeq kerti hai aur usy ne toaraat aur injeel nazil ki thi.
www.haqvoice.com/sms |
10-Jan-11 |
Al-Quran P3,S3
1. Alif. Lam. Mim.
2. Allah jo ma'bood bar'haq hai, us kai siwa koe ibadat kai la'iq nhn, zinda hai sab ko thamne wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
08-Jan-11 |
Al-Quran P3,S2
286-II. ae parwardigaar ham per aisa bojh na dalio jaisa tum ne ham se pehlai logo'n per dala tha, ae parwardigaar jitna bojh uthane ki ham main taqat nhn utna bojh ham per na rakhiyo aur ae parwardigaar hamarai gunaho'n se darguzar ker, aur hamain bakhsh day aur ham per rehm ferma, tu he hamara madadgaar hai, so ham ko kafiro'n per galib ker.
www.haqvoice.com/sms |
07-Jan-11 |
Al-Quran P3,S2
286-I. Allah kisi shakhs ko uski taqat se ziyada ka zimma dar nhn bnata, achhai kaam karai ga to usko un ka fa'ida milai ga burai kaam karai ga tu usai un ka nuqsaan pahunchai ga, ae parwardigaar agar ham se bhool ya chook ho gaye ho to ham se muakhza na kijeo...[TBC]
www.haqvoice.com/sms |
06-Jan-11 |
Al-Quran P3,S2
285-II. aur kehtai hain keh ham uskai payghambro'n se kisi main kuchh faraq nhn kertai aur wo Allah se araz kertai hain keh ham ne tera hukam suna aur qabool kiya. ae parwardigaar ham teri bakshash mangtai hain aur teri he taraf loat ker jana hai.
www.haqvoice.com/sms |
05-Jan-11 |
Al-Quran P3,S2
285-I. Rasulullah (PBUH) us kitab per jo unkai parwardigaar ki taraf se un per nazal hovi aimaan rkhtai hain aur momin bhe, sab Allah per aur uskai farishto'n per aur uski kitabo'n per aur uskai payghambro'n per aimaan rkhtai hain. ..[TBC]
www.haqvoice.com/sms |
27-Dec-10 |
Al-Quran P3,S2
284. Jo kchh asmano'n aur zamin main hai sab Allah he ka hai, tum apne dil ki baat zahir karo ya chhupao, Allah tum se es ka hisab lay ga, phir wo jisay chahe bakhsh dai aur jisay chahe azaab dai, aur Allah her cheez per qadir hai.
www.haqvoice.com/sms |
26-Dec-10 |
Al-Quran P3,S2
283. Aur agar tum safar par ho aur dastawaiz likhne wala na mil sakai tu koe cheez rehn ba qabza rakh ker qaraz lai lo aur agar tum mein se koe dosray ko ameen samjhai yehni rehn kai beghair qaraz dai day, tu amanatdaar ko chahyai keh sahibay amanat ki amanat ada ker dai aur Allah se daray jo keh us ka perwardigaar hai aur dekhna shahadat ko mat chhupana jo usko chhupayai ga wo dil ka gunahgaar ho ga aur Allah tumharai sab kamo'n se waqif hai.
www.haqvoice.com/sms |
25-Dec-10 |
Al-Quran P3,S2
282-VI. dastawaiz likhne wala aur guwah, muamla kerne walo'n ka kisi tarha ka nuqsaan na karein, agar tum loag aisa karo tu yeh tumharai liyai gunah ki baat hai aur Allah se daro aur dekho keh wo tum ko kaisy mufeed batain sikhata hai, aur Allah har cheez se waqif hai.
www.haqvoice.com/sms |
24-Dec-10 |
Al-Quran P3,S2
282-V. haan agar soda dast badast ho jo tum apas main letai detai ho tu agar aisai muamlai ki dastawaiz neh likho to tum per kuchh gunah nhin aur jab kharido faroakht kiya karo maslan zamin jayedaad ki to bhe guwah ker liya karo...[TBC]
www.haqvoice.com/sms |
23-Dec-10 |
Al-Quran P3,S2
282-IV. aur qaraz thora ho ya bahut uski dastawaiz likhne likhanai main susti na kerna yeh baat Allah kai nazdik nahayet insaaf ki hai, aur guwahi kai liyai bhe yeh bahut darust tareqa hai, es sai tum ko kisi tarha ka shako-o-shuba bhe nhn parai ga...[TBC]
www.haqvoice.com/sms |
22-Dec-10 |
Al-Quran P3,S2
282-III. aur apne main se do mardo'n ko aisai muamlai kai guwah ker liya karo, aur agar do mard na ho'n to ek mard aur do aurtain jin ko tum guwah pasand karo kaafi hain keh agar un main se ek bhool jayai gi tu dosri usai yaad dilayai gi, aur jab guwah guwahi kai liyai talab kiyai jayain tu inkaar na karain...[TBC]
www.haqvoice.com/sms |
21-Dec-10 |
Al-Quran P3,S2
282-II. aur jo shakhs qaraz lai wohi dastawaiz ka mazmoon bool ker likhwayai aur Allah se jo keh uska malilk hai khoaf karai aur zarr-e-qaraz main se kucch kam na likhwayai, aur qaraz lenai wala kam aqal ya zayeef ho ya mazmoon likhwanai ki qabliyat na rakhta ho tu jo uska dost ho wo insaaf kai saath mazmoon likhwayai,..[TBC]
www.haqvoice.com/sms |
20-Dec-10 |
Al-Quran P3,S2
282-I. momino! jab tum aapes main kisi meyad-e-muayyen kai liya qaraz ka muamla kernai lago to usko likh liya karo aur likhne wala tum main kisi ka nuqsan na karai balkeh insaaf se likhai neez likhne wala jaisa keh Allah ne usai sikhaya hai likhne se inkaar na karai aur dastawaiz likh dai,..[TBC]
www.haqvoice.com/sms |
18-Dec-10 |
Al-Quran P3,S2
281. aur us din se daro jabkeh tum Allah kai hazur main loat ker jao gai aur har shakhs apne a'maal ka pura pura badla payai ga aur kisi ko kuchh nuqsaan na ho ga.
www.haqvoice.com/sms |
17-Dec-10 |
Al-Quran P3,S2
280. aur agar qaraz lenai wala tangdast ho tu usai kasha'esh kai hasil honai tak mohlat do aur agar zar qaraz bakhsh do to wo tumharai liya ziyada acha hai bashartaikeh samjho.
www.haqvoice.com/sms |
15-Dec-10 |
Al-Quran P3,S2
279. phir agar aisa na karo gai to tum Allah aur us kai rasul ki taraf se elaan-e-jang sunn lo aur agar toba ker lo gai aur sood chhor do gai tu tum ko apni asal raqam lenai ka haq hai jis main na auro'n ka nuqsaan na tumhara nuqsaan.
www.haqvoice.com/sms |
13-Dec-10 |
Al-Quran P3,S2
278. Momino'n Allah se da'ro aur agar emaan rakhtai ho tu jitna sood baqi reh giya hai us ko chhor do.
www.haqvoice.com/sms |
12-Dec-10 |
Al-Quran P3,S2
277. jo loag emaan layai aur naik amal kertai aur namaz parhtai aur zakaat detai rahai, un ko un kai kamo'n ka sila Allah kai haan milai ga aur qiyamat kai din un ko na kuchh khoaf ho ga aur na wo ghamnaak hon gai.
www.haqvoice.com/sms |