Become a member of HaqVoice whatsapp

  • Its Free. Just for the sake of Allah Almighty.
  • Receive Daily Ayat Translation via whatsapp
  • Select your desired language (Roman,English,Urdu)
  • Subcribe for Quran Ayat Translations
  • We'll never share your Mobile No. and Email with anyone.

Note: Quran Ayat via SMS is available on whatsapp Only.
Please Send join request from whatsapp to whatsapp number 00923348090970
 
Example : join urdu ayat to 00923348090970
 
   
 
Sent Date
Message
11-Dec-10 Al-Quran P3,S2
276. Allah sood ko nabood yehni baybarkat kerta aur khairaat ki barkat ko barhata hai aur Allah kisi nashukrai gunahgaar ko dost nhin rakhta.
www.haqvoice.com/sms
10-Dec-10 Al-Quran P3,S2
275-II. halankeh samaan ko Allah ne halaal kiya hai aur sood ki haraam, tu jiss shakhs kai paas Allah ki nasihat pahunchi aur wo sood laine se baaz aa giya tu jo pehlay ho chuka hai wo uska hai, aur qiyamat main uska muamla Allah kai sapurd, aur jo phir lenai laga tu aisay loag dozkhi hain keh hamesha dozakh main jaltai rahain gai.
www.haqvoice.com/sms
09-Dec-10 Al-Quran P3,S2
275-I. jo loag sood khatai hain wo qabro'n se es tarha hawaas baakhta uthain gai jaisy kisi ko jinn ne lipat ker diwana bna diya ho, yeh es liyai keh wo kehtai hain keh samaan baychna bhe tu nafa kai lihaaz se waisa he hai jaise sood lena,..[TBC]
www.haqvoice.com/sms
07-Dec-10 Al-Quran P3,S2
274. jo loag apna maal raat aur din aur poshida aur zahir Allah ki rah main kharach kertai rehtai hain unka sila unkay parwardigaar k paas hai, aur unko qiyamat k din na kisi tarha ka khoaf ho ga aur na gham.
www.haqvoice.com/sms
06-Dec-10 Al-Quran P3,S2
273-II. aur tum qiyafay se unko saaf pehchaan lo keh hajat mand hain aur sharam kai sabab logo'n se mhn phhaar ker aur lipat ker nhin maang saktai aur tum jo maal kharach karo gai kucch shak nhin keh Allah usko jaanta hai.
www.haqvoice.com/sms
05-Dec-10 Al-Quran P3,S2
273-I. Aur haan tum jo kharach karo gai to un hajat mando'n kai liyai jo Allah ki rah main rukai bethai hain aur mulak main kisi taraf janai ki taqat nhin rakhtai aur mangnai se aar rakhtai hain, yahan tak keh na mangnai ki waja se nawaqif shakhs unko zarurat mand khiyal nhn kerta,..[TBC]
www.haqvoice.com/sms
04-Dec-10 Al-Quran P3,S2
272. Ae Nabi (PBUH) tum en logo'n ki hadayet kay zima daar nhin ho balkeh Allah he jisko chahta hai hadayat bakhshta hai, aur momino'n! tum jo maal kharach karo gay to uska faida tumhi ko hai aur tum to jo kharach karo gai Allah ki khushnodi kai liyai kharach karo gai, aur jo maal tum kharach karo gai wo tumhain pura pura dai diya jayai ga, aur tumhara kuchh nuqsaan nhin kiya jayai ga.
www.haqvoice.com/sms
03-Dec-10 Al-Quran P3,S2
271. agar tum khairaat zahir ker k do tu wo bhe khoob hai aur agar poshida do aur do bhe zarurat mando'n ko tu yeh tumharai liyai behtar hai aur es tarha ka dayna tumharai gunaho'n ko door karai ga, aur Allah ko tumharai sab kamo'n ki khabar hai.
www.haqvoice.com/sms
28-Nov-10 Al-Quran P3,S2
270. aur tum Allah ki rah main jiss tarha ka kharach karo ya koe nazar mano'n, Allah usko janta hai aur zalimo'n ka koe madadgaar na ho ga.
www.haqvoice.com/sms
27-Nov-10 Al-Quran P3,S2
269. wo jisko chahta hai danaye bakhshta hai aur jisko danaye mili bayshak usko bari ne'mat mili, aur nasihat tu wohi loag qabul kertai hain jo aqalmand hain.
www.haqvoice.com/sms
26-Nov-10 Al-Quran P3,S2
268. shaytan tumhain tangdasti ka khoaf dilata aur bayhiyae kai kaam kerne ko kehta hai aur Allah tum se apni bakhshash aur rehmat ka wada kerta hai aur Allah kashayesh wala hai, sab kuchh jan'anai wala hai.
www.haqvoice.com/sms
15-Nov-10 Al-Quran P3,S2
267. Momino'n jo pakeza aur umda maal tum kamatay ho aur jo chezien ham tumharai liyai zamin se nikaltai hain un main se Allah ki rah main bhe kharach karo, aur buri aur napaak chezien denai ka qasad na kerna keh agar wo chezien tumhain di jayein tu ba'juz eskai keh letai waqt ankhain band ker lo unko kabhi na lo, aur jaan rakho keh Allah bayniyaz hai khubiyo'n wala hai.
www.haqvoice.com/sms
14-Nov-10 Al-Quran P3,S2
266. bhala tum main koe yeh chahta hai keh us ka khhajuro'n aur anguro'n ka bagh ho jis main nehrain beh rahi hn aur us main us kai liyai har qisam kai maivai mojude hn aur usai burhapa aa pakrai aur uskai nanhai nanhai bachai bhe hn, tu nag'haan us baagh per aag ka bhara huva bagola chalai pss wo jal jayai es tarha Allah tum se apni ayatein khhol khhol ker biyan fermata hai takeh tum socho aur samjho.
www.haqvoice.com/sms
13-Nov-10 Al-Quran P3,S2
265. jo loag Allah ki khushnudi hasil kernai k liyai aur khalus niyat se apna maal kharach kertai hain un ki misaal ek baagh ki ci hai jo onchi jaga per waqai ho, jab us per zoar ki barish parai tu dugna phhal dai phir agar barish na bhe ho tu khair phhuwaar he sahi aur Allah tumharai kamo'n ko dekh raha hai.
www.haqvoice.com/sms
12-Nov-10 Al-Quran P3,S2
264-II. esi tarha yeh riyakaar loag apne a'maal ka kucch bhe hissa hasil nhin ker sakain gai aur Allah aisay nashukro'n ko hadayet nhn diya kerta.
www.haqvoice.com/sms
10-Nov-10 Al-Quran P3,S2
264-I. Momino'n apne sadqaat aur khairaat ahsaan rakhne aur eza denai se us shakhs ki tarha barbaad na ker daina jo logo'n ko dikhlaway k liyai maal kharch kerta hai aur Allah aur rozai aakher per aimaan nhn rakhta, tu uskai maal ki misaal us chitaan ki ci hai jis per thori ci matti pari ho aur us per zoor ki barish baras ker usai saaf ker dalai...[TBC]
www.haqvoice.com/sms
01-Nov-10 Al-Quran P3,S2
263. jo khairaat denai k ba'ad lenai walai ko taklif di jayai, es sai behtar hai naram baat kehna aur muaaf ker dena, aur Allah bayniyaz hai burdbaar hai.
www.haqvoice.com/sms
31-Oct-10 Al-Quran P3,S2
262. Jo loag apna maal Allah kai rastai main sarf kertai hain, phir us kai ba'ad na us kharch ka kisi pai ahsaan rakhtai hain aur na kisi ko takleef detai hain, un ka sila un kai parwardigaar kai paas tayyar hai aur qiyamat kai roze na unko kuchh khoaf ho ga aur na wo ghamgin ho'n gai.
www.haqvoice.com/sms
29-Oct-10 Al-Quran P3,S2
261. Jo loag apna maal Allah ki rah main kharach kartai hain, un kai maal ki misaal us danay ki si hai jis se saat balayn ugai'n aur har baal main so so danain ho'n aur Allah jis kai ajar ko chahta hai ziyada kerta hai aur Allah kashayesh wala hai sab kuchh jan'anai wala hai.
www.haqvoice.com/sms
28-Oct-10 Al-Quran P3,S2
260-II. farmaya keh chaar parindai lay lo, phir unko apne se hila lo, aur unkai tukrai tukrai ker do, phir unka aik aik tukra har aik pahaar per rakh do, phir unko bulao tu woh tumharai paas dortai chalai aein gai aur jaan rakho keh Allah ghalib hai sa'hibay hikmat hai.
www.haqvoice.com/sms