Sent Date |
Message
|
14-Feb-11 |
Al-Quran P3,S3
26. kaho keh ae Allah ae badshahi kai maalik tu jisko chahai badshahi bakhshay aur jis se chahai badshahi chhein lai aur jisko chahai izzat dai aur jisai chahai zalil karai, har tarha ki bhalae terai he haath hai aur bayshak tu her cheez per qadir hai.
www.haqvoice.com/sms |
13-Feb-11 |
Al-Quran P3,S3
25. to us waqt kiya haal ho ga jab ham unko jama karain gai yehni us rooz jis kai anai main kuchh shak nhn aur har nafs apnai a'maal ka pura pura badla payai ga aur un per zulm nhn kiya jayai ga.
www.haqvoice.com/sms |
12-Feb-11 |
Al-Quran P3,S3
24. Yeh es liyai keh yeh es baat kai qa'el hain keh dozakh ki aag hamain chnd roaz kai siwa chhu he nhn sakai gi, aur jo kuchh yeh dein kai barai main gumaan bandhtai rahai hain es nai en ko dhokai main daal rakha hai
www.haqvoice.com/sms |
09-Feb-11 |
Al-Quran P3,S3
23. bhala tum ne un logo'n ko nhn dekha jinko kitaab yehni to'raat sai hissa diya giya aur wo kitab-Ullah yehni Quran ki taraf bulayai jatai hain takeh yeh en kai ta'naz'aat ka en main faysla ker dai to ek fareeq en main se phhir jata hai aur muhn phhair leta hai.
www.haqvoice.com/sms |
08-Feb-11 |
Al-Quran P3,S3
22. yeh aisay loag hain jin kai a'maal dunya aur akhrat dono'n main barbaad hain aur un ka koe madadgaar nhn ho ga.
www.haqvoice.com/sms |
07-Feb-11 |
Al-Quran P3,S3
21. jo loag Allah ki ayato'n ko nhn maantay aur anbiya ko na'haq qatal kertai rahai hain, aur jo insaaf kerne ka hukam daitay hain, unhain bhe maar daltay hain, enko dukh denai walai azaab ki khushkhabri sunaa do.
www.haqvoice.com/sms |
05-Feb-11 |
Al-Quran P3,S3
20. Ae paighambr p'ss agr yeh loag tum se jhgarne lagain tu kehna main aur meray pairokaar tu Allah k farmabrdaar ho chukai aur ahl-e-kitab aur unparh logo'n se kaho keh kiya tum bhe Allah k fermabrdaar bntai aur Islam latai ho? p'ss agar yeh loag Islam lai ayein tu bayshak hadayet pa lain aur agar tumhara kaha na manain tu tumhara kaam sirf Allah ka paighaam pahuncha dena hai, aur Allah apne bando'n ko daikh raha hai.
www.haqvoice.com/sms |
04-Feb-11 |
Al-Quran P3,S3
19. Deen tu Allah kai nazdeek islam he hai, aur ehl-e-kitaab ne jo es dein se ikhtilaaf kiya tu ilam hasil honai ka ba'ad aapes ki zid se kiya, aur jo shakhs Allah ki ayato'n ko na manain tu Allah jald hisab lenai wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
03-Feb-11 |
Al-Quran P3,S3
18. Allah tu es baat ki guwahi deta hai keh us kai siwa koe ma'bood nhn, es haal main keh wo insaaf ka hakam hai aur farishtai aur ilam walai bhe guwahi detai hain keh us ghalib hikmat walai kai siwa koe ibadat kai la'eq nhn.
www.haqvoice.com/sms |
02-Feb-11 |
Al-Quran P3,S3
16. jo Allah se iltijaa kertai hain keh ae perwardigaar ham emaan lai ayai so ham ko hamarai gunah muaaf ferma aur ham ko dozakh kai azab se mehfooz rakh.
17. yeh wo loag hain jo mushkalaat main sabar kertai aur sach boltai aur ibadat main lagai rehtai aur naiky main kharach kertai aur aoqaat-e-sehr main gunaho'n ki muaafi manga kertai hain.
www.haqvoice.com/sms |
31-Jan-11 |
Al-Quran P3,S3
15. ae payghamber en sai kaho keh bhala main tum ko aisy cheez batao'n jo en chezo'n se kahin achhi ho, suno jo loag perhaizgaar hain un kai liya Allah kai paas jannat kai baghaat hain jin kai nichai nehrain beh rahi hain, en main wo hamesha rahain gai, aur pakeza biwiyan hain aur sab se barh ker Allah ki khushnodi, aur Allah apne sab bando'n ko dekh raha hai.
www.haqvoice.com/sms |
30-Jan-11 |
Al-Quran P3,S3
14. logo'n ko unki khuwahisho'n ki chezein yehni aurtain aur baitay aur sonai aur chandi kai barai barai dhair aur nishaan lagai huvai ghhorai aur muwaishy aur khayti, bari zeenat daar maloom hoti hain, magar yeh sab dunya he ki zindagi kai samaan hain, aur Allah kai paas bahut achha thikana hai.
www.haqvoice.com/sms |
29-Jan-11 |
Al-Quran P3,S3
13. tumharai liyai do groho'n main jo jang-e-badar kai din aapis main bhirr gayai, Qudrat-e-ilahi ki azeem nishani thi, ek groh muslimano'n ka tha wo Allah ki rah main larr rha tha aur dosra groh kafiro'n ka tha wo unko apni ankho'n se apne se dugna mushahida ker raha tha aur Allah apni nusrat se jis ko chahta hai madad deta hai jo ahle basarat hain un kai liyai es waq'ai main bari ibrat hai.
www.haqvoice.com/sms |
27-Jan-11 |
Al-Quran P3,S3
12. ae payghamber kafiro'n se keh do kai tum dunya main bhe anqarib maghloob ho jao gai aur akhrat main jahanum ki taraf ikatha kiyai jao gai aur wo buri jaga hai.
www.haqvoice.com/sms |
26-Jan-11 |
Al-Quran P3,S3
11. un ka haal bhe firaoniyo'n aur un se pehlai logo'n ka sa ho ga jinho'n ne hamari ayato'n ki takzeeb ki thi to Allah ne unko unkai gunaho'n kai sa'bab azab main pakar liya tha aur Allah sakht azab kernai wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
25-Jan-11 |
Al-Quran P3,S3
10. jo loag kafir hovai us din na tu un ka maal he Allah kai azab se un ko ba'cha sakai ga aur na unki aulaad he kucch kaam aye gi aur yeh loag jahannum ki aag ka aindhan ho'n gai.
www.haqvoice.com/sms |
21-Jan-11 |
Al-Quran P3,S3
9. ae parwardigaar to us roze jis k anai main kuchh shak nhn, sab logo'n ko apne hazoor main jama ker lai ga, be shak Allah wada khilafi nhn kerta.
www.haqvoice.com/sms |
19-Jan-11 |
Al-Quran P3,S3
8. ae parwardigaar jab to ne hamain hadayet bakhshi hai to es kai ba'ad hamaray dilo'n main ka'je paida na ker dijeo aur hamain apne haan se ne'amat ata ferma tu to bara ata fermanai wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
17-Jan-11 |
Al-Quran P3,S3
7. ae payghamber wohi tu hai jis ne tum per kitab nazil ki, jis ki ba'az ayatain muh'kam hain aur wohi asal kitab hain aur ba'az dosri muta'shaba hain to jin logo'n kai dilo'n main ka'je hai wo muta'shabat ka itta'ba kertai hain takeh fitna barpa karain aur murad-e-asli pata karain halankeh murad-e-asli Allah kai siwa koe nhn janta. aur jo loag ilam main gehri nazar rakhtai hain wo kehtai hain keh ham en per aimaan layai, yeh sab ayat hamarai parwardigaar ki taraf se hain, aur nasihat tu aqalmand he qabool kertai hain.
www.haqvoice.com/sms |
14-Jan-11 |
Al-Quran P3,S3
5. Allah aisa khabir-o-basir hai keh koe cheez us se poshida nhn na zamin main na asmaan main.
6. wohi tu hai jo maan kai pait main jaisy chahta hai soortain banata hai, us ghalib hikmat walai kai siwa koe ibadat kai la'iq nhn.
www.haqvoice.com/sms |