Sent Date |
Message
|
24-May-11 |
Al-Quran P3,S3
86. Allah aisay logo'n ko kynker hadayet dai jo aiman lanai kai ba'ad kafir ho gaye aur pehlai es baat ki guwahi dai chukai k yeh payghamber barhaq hai aur un kai paas dalayel bhe aa gayai aur Allah bai insafo'n ko hadayet nhn deta.
www.haqvoice.com/sms |
23-May-11 |
Al-Quran P3,S3
85. aur jo shakhs Islam kai siwa kisi aur dein ka talib ho ga wo us se hargiz qabool nhn kiya jayai ga aur aisa shakhs akhrat main nuqsaan uthanai walo'n main ho ga.
www.haqvoice.com/sms |
22-May-11 |
Al-Quran P3,S3
84. kaho keh ham Allah per aimaan layai aur jo kitab ham per nazil hvi aur jo sahifai ibrahim aur ismaeel aur is'haaq aur ya'qoob aur unki aulaad per utrai, aur jo kitabain musa aur esa aur dosrai a'nbiya ko parwardigaar ki taraf se milein sab per aimaan layai, ham en payghambro'n main se kisi main kuchh farq nhn kertai aur ham esi Allah kai ferman'bardar hain.
www.haqvoice.com/sms |
21-May-11 |
Al-Quran P3,S3
83. phir kiya yeh kaafir Allah kai dein kai siwa kisi aur dein kai talib hain halankeh sab ahle asma'n wa zamin khushi na khushi se sab Allah kai ferma'nbardar hain aur usi ki taraf loat ker janai walai hain.
www.haqvoice.com/sms |
20-May-11 |
Al-Quran P3,S3
82. aur jab loag us kai ba'ad phir jayein tu wohi badkirdar hain,
www.haqvoice.com/sms |
18-May-11 |
Al-Quran P3,S3
81-II.aur ehd lenai k ba'ad pocha keh bhala tum ne iqraar kiya aur es iqraar per mera zimma liya yehni mujhai zaamin thehraya, unho'n ne kaha haan ham ne iqrar kiya, fermaya keh tum es ehd payma'n kai guwah raho aur main bhe tumharai sath guwah hn.
www.haqvoice.com/sms |
16-May-11 |
Al-Quran P3,S3
81-I. aur jab Allah ne payghambro'n se ehd liya keh jab main tum ko kitab aur danae ata karo'n phir tumharai paas koe payghamber ae jo tumhari kitab ki tasdiq karai tu tumhain zarur us per aimaan lana ho ga aur zarur uski madad kerni ho gi.... [TBC]
www.haqvoice.com/sms |
14-May-11 |
Al-Quran P3,S3
80. aur usko yeh bhe nhn kehna chahyai keh tum farishto'n aur payghambro'n ko ma'bood bana lo, bhala jab tum muslimaan ho chukai tu kiya wo tumhain kafir honai ko kahai ga.
www.haqvoice.com/sms |
13-May-11 |
Al-Quran P3,S3
79. kisi admi ko shayan nhn keh Allah usai kitab aur kihmat aur nabuwwat ata fermayai phir wo logo'n se kahai keh Allah ko chhor ker merai bandai ban jao, balkeh usko yeh kehna chahyai keh ae ahle kitab tum rabbani ho jao kynkeh tum kitab ki taleem bhe detai ho aur kynkeh parhtai parhatai rehtai ho.
www.haqvoice.com/sms |
12-May-11 |
Al-Quran P3,S3
78. aur en ahle kitaab main ba'az aisay hain keh kitab yehni toarat ko zabaan maroa'r maroa'r ker parhatai hain takeh tum samjho keh jo kuchh wo parhtai hain kitaab main se hain halankeh wo kitaab main se nhn hota aur kehtai hain keh wo Allah ki taraf se nazil hva hai halankeh wo Allah ki taraf se nazil nhn hota aur Allah per jhoot boltai hain aur yeh baat jantai bhe hain.
www.haqvoice.com/sms |
11-May-11 |
Al-Quran P3,S3
77. jo loag Allah kai iqraro'n aur apni qasmo'n ko baych daltai hain aur un kai iwaz thori ci qeemat hasil kertai hain unka aakhrat main kuchh hissa nhn , unse Allah na tu kalaam karai ga aur na qiyamat kai roaz unki taraf dekhai ga aur na unko paak karai ga aur unko dukh denai wala azaab ho ga.
www.haqvoice.com/sms |
05-May-11 |
Al-Quran P3,S3
76. haan kyn nhn, jo shakhs apne iqraar ko pura karai aur perhaizgaar bana rahai tu Allah bhe perhaizgaro'n ko dost rakhta hai.
www.haqvoice.com/sms |
04-May-11 |
Al-Quran P3,S3
75. aur ahle kitaab main se koe tu aisa hai keh agar tum us k paas dinaro'n ka dhair amanant rakh do tu tum ko fora'n wapis dai de aur koe es tarha ka hai keh agar us k paas ek dinaar bhe amanat rakho tu jab tak us k sar par har waqt na kharai raho tumhain dai he nhn yeh es liyai k wo kehtai hain k ghair ahle kitab k barai main un se muakhza nhn ho ga, yeh Allah per mehz jhoot boltai hain aur es baat ko jantai bhe hain.
www.haqvoice.com/sms |
03-May-11 |
Al-Quran P3,S3
74. wo apni rehmat se jiss ko chahta hai khaas ker leta hai aur Allah barai fazal ka maalik hai.
www.haqvoice.com/sms |
02-May-11 |
Al-Quran P3,S3
73. aur apne deen kai payrokaar kai siwa kisi aur ki baat ka yaqeen na ker lena, ae payghamber keh do k hadayet tu Allah he ki hadayet hai, wo yeh bhe kehtai hain yeh bhe na man'ana k jo cheez tum ko mili hai waysi kisi aur ko bhe mil sakti hai warna wo tum per tumharai rab k rubaru hujjat qayem ker dain gai, ae payghabar keh do keh bazurgi Allah he k haath main hai, wo jisai chahta hai daita hai, aur Allah kashaesh wala hai, ilam wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
30-Apr-11 |
Al-Quran P3,S3
72. aur ahle kitab ka ek ga'roh apne admiyo'n se kehta hai keh jo kitaab momino'n per nazil hvi hai us per din kai shuru main tu emaan lai aya karo aur us kai akhir main inkaar ker diya karo takeh wo islaam se bargashta ho jayein.
www.haqvoice.com/sms |
29-Apr-11 |
Al-Quran P3,S3
71. ae ahle kitaab tum sach main jhoot kyn milatai ho, aur sachi baat ko chupatai ho, jabkeh tum jantai bhe ho.
www.haqvoice.com/sms |
28-Apr-11 |
Al-Quran P3,S3
70. ae ahle kitaab tum Allah ki ayeto'n se kyn inkaar kertai ho aur toraat ko tu tum maantai ho.
www.haqvoice.com/sms |
26-Apr-11 |
Al-Quran P3,S3
69. Ae ahle-islam ba'az ahle kitab es baat ki khuwahish rakhtai hain keh tum ko kisi tarha gumrah ker dain, halanekeh yeh tum ko kiya gumrah karain gai yeh tu apne app ko he gumrah ker rahai hain aur nhn jantai.
www.haqvoice.com/sms |
25-Apr-11 |
Al-Quran P3,S3
68. Ibrahim se ziyada qurb rakhne walai to wo loag hain jo un ki pairvi kertai rahai, aur yeh payghamber akhruz'zama'n (SAW), aur wo loag jo emaan layai, aur Allah mom'no'n ka karsaaz hai.
www.haqvoice.com/sms |