Sent Date |
Message
|
07-Mar-13 |
Al-Quran P5,S4
93. aur jo shakhs kisi muslimaan ko qasdann maar dalay ga tu uski saza dozakh hai jis main wo hamesha jalta rahay ga aur Allah us per ghazabnaak ho ga aur us per lanat karay ga aur aisay shakhs k liye us ne bara sakht azab tayyar ker rakha hai.
www.haqvoice.com/sms |
04-Mar-13 |
Al-Quran P5,S4
92. aur kisi momin ko shayan nhn k kisi dosre momin ko maar dalay magar ghalti se aisa ker bethai, aur jo ghalti se bhe momin ko maar dalay tu wo ek tu ek muslimaan ghulaam azaad kar dai aur maqtool k wariso'n ko khoon baha dai, magar yeh keh wo muaaf ker dain phir agar maqtool tumharay dushmano'n ki jamat main se ho aur wo khud momin ho tu sirf ek muslimaan ghulam azad kerna chahye, agar maqtool aisay logo'n main se ho jis main aur tum main sulah ka ehd ho tu warisan-e-maqtool ko khoon baha dena aur ek muslimaan azad kerna chahye aur jin ko muyassar ho wo mutwatar do mahinay k rozay rakhay yeh kuffara Allah ki taraf se qabool-e-toba k liye hai aur Allah sab kuchh janta aur bari hikmat wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
03-Mar-13 |
Al-Quran P5,S4
91. tu kuch aur loag aisay bhe pao gai jo yeh chahte hain keh tum se bhe aman main rahain aur apni qoam se bhe aman main rahain, laykun jab fitna angezi ko bulayai jayen tu us main aondhay mhn gir parain, tu aisay loag agar tum se larne se kinara kashi na karain aur na tumhari taraf pegham sulah bhejain aur na apne hatho'n ko rokain tu unko pakar lo aur jahan pao qatal ker do, aur enhi logo'n k muqabilay main ham ne tumhain khuli chhoot de di hai.
www.haqvoice.com/sms |
02-Mar-13 |
Al-Quran P5,S4
90. Except those who join a group between whom and you there is a treaty, or who come to you with their hearts feeling discomfort in fighting either against you or against their own people. If Allah had so willed, He would have given them power over you, then they would have fought you so, if they stay away from you, and do not fight you and offer you peace, then Allah has not given you any authority against them.
www.haqvoice.com/sms |
28-Feb-13 |
Al-Quran P5,S4
89. wo tu yeh chahte hain keh jis tarha wo khud kafir hain esi tarha tum khud bhe kafir ho ker sab brabar ho jao tu jab tak wo Allah ki rah main watan na chhor jayen un main se kisi ko dost na bnana, agar tarke watan ko qabool na karein tu unko pakar lo aur jaha'n pao qatal ker do, aur en main se kisi ko apna rafeeq aur madadgaar na bnao.
www.haqvoice.com/sms |
27-Feb-13 |
Al-Quran P5,S4
88. ab kiya sa'bab hai keh muslimano tum munafiqo'n k baray main do ga'roh ban gaye ho halankeh Allah ne unko unkay kertoto'n k sa'bab ondha ker diya hai, kiya tum chahte ho keh jis shakhs ko Allah ne gumrah rehne diiya hai usko rastay per le ao aur jis shakhs ko Allah gumrah rehne dai tum uskay liye kabhi bhi rasta nhn pao gai.
www.haqvoice.com/sms |
26-Feb-13 |
Al-Quran P5,S4
87. Allah wo ma'bood barhaq hai keh uskai siwa koe ibadat k layeq nhn, wo qayamat k din tum sab ko zaroor jama karay ga aur Allah se barh ker baat ka sacha koan ho ga?
www.haqvoice.com/sms |
25-Feb-13 |
Al-Quran P5,S4
86. aur jab tum ko koe dua dai tu jawab main tum us se behtar kalme se usay jawab do ya unhin lafzo'n se dua do, beshak Allah her cheez ka hisab lene wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
24-Feb-13 |
Al-Quran P5,S4
85. jo shakhs naik baat ki safarish karay tu usko uskay sawab main se hissa milay ga, aur jo buri baat ki safarish karay usko usk azab main se hissa milay ga aur Allah her cheez per qudrat rakhta hai,
www.haqvoice.com/sms |
02-Feb-13 |
Al-Quran P5,S4
84. So ae payghamber tum Allah ki rah main laro, tum apne siwa kisi kay zimma daar nhn ho, aur momino ko bhe targhib do, qarib hai keh Allah kafiro'n ki larae ko band ker dai, aur Allah shadid tareen jang kerne wala hai aur saza denay k lihaz se bhe bht sakht hai.
www.haqvoice.com/sms |
01-Feb-13 |
Al-Quran P5,S4
83. aur jab un kay paas aman ya khoaf ki koe khabar pahunchty hai tu usay mash'hoor ker detay hain, halankeh esko agar payghamber aur apne zimma dar kay paas pahunchatay tu tahqiq kerne walay tehqiq ker letay, aur agar tum per Allah ka fazal aur uski mehrbani na hoti tu chand admiyun k siwa tum sab shaitan kay pero ho jatay.
www.haqvoice.com/sms |
27-Jan-13 |
Al-Quran P5,S4
82. bhala yeh Quran main ghoar kyn nhn kertay, agar yeh Allah kay siwa kisi aur ka kalam hota tu es main wo bht sa ikhtalaf patay.
www.haqvoice.com/sms |
23-Jan-13 |
Al-Quran P5,S4
81. aur yeh loag munh se tu kehtay hain keh aap ki farmabardary dil se manzoor hai laikan jab tumharay paas se chalay jatay hain tu un main se ba'az loag raat ko tumhary bato'n k khilaf mashwaray kertay hain aur jo mashwaray yeh kertay hain Allah en ko likh leta hai, so enka kuchh khiyal na karo, aur Allah per bharosa rakho aur Allah he kafi kaarsaaz hai.
www.haqvoice.com/sms |
22-Jan-13 |
Al-Quran P5,S4
80. jo shakhs Rasool (SAW) ki farmabardary kerta hay tu beshak us ne Allah ki fermabardary ki aur jo nafarmany karay tu ae payghamber tumhain ham ne unka negaibaan bana ker nhn bheja.
www.haqvoice.com/sms |
17-Jan-13 |
Al-Quran P5,S4
79. Ae adam zaad tujh ko jo fayeda pahunchay wo Allah ki taraf se hai, aur jo nuqsaan pahunchay wo teri he shamt-e-a'maal ki waja se hai, aur aey Nabi (SAW) ham ne tum ko logo'n ki hadayet k liye payghamber bana ker bheja hai, aur es baat ka Allah he guwah kafi hai.
www.haqvoice.com/sms |
14-Jan-13 |
Al-Quran P5,S4
78. ae jihaad se darne walo tum kahin raho moat tu tumhain aa kai rahai gi khuwah mazboot qil'aon main raho, aur un logo'n ko agar koe fayeda pahunchta hai tu kehte hain yeh Allah ki taraf se hai aur agar koe musibat pahunchti hai tu ae payghabmer tum se kehte hain keh yeh aap ki waja se hamain pahunchi hai, keh do k ranj wa rahat sab Allah he ki taraf se hai, en logo'n ko kiya ho giya hai keh baat bhe nhn samajh saktay.
www.haqvoice.com/sms |
12-Jan-13 |
Al-Quran P5,S4
77-II. aur kehne lagay ae Allah tu ne ham per jihad jald kyn farz ker diya, thori muddat aur hamain kyn muhlat na di, ae payghamber en se keh do dunya ka faida bht thora hai aur bht achhi cheez tu perhaizgar k liye nijat-e-akhrat hai aur tum per dhagay brabar bhe zulm nhn kiya jayai ga.
www.haqvoice.com/sms |
11-Jan-13 |
Al-Quran P5,S4
77-I. bhala tum ne un logo'n ko nhn dekha jinko pehlay yeh hukam diya giya tha keh apne hatho'n ko jang se rokay raho aur nimaz parhte aur zakat detay raho, phir jab un per jihaad farz ker diya giya tu ba'az loag un main se logo'n se yun darne lagay jaisay Allah se dara kartay hain, balkeh es se bhe ziyada...[TBC]
www.haqvoice.com/sms |
10-Jan-13 |
Al-Quran P5,S4
76. jo momin hain wo tu Allah ki rah main lartay hain aur jo kafir hain wo shetan ki rah main lartay hain so tum shetan kay madadgaar se laro aur daro mat kynk shetan ka dao kamzor hota hai.
www.haqvoice.com/sms |
08-Jan-13 |
Al-Quran P5,S4
75. aur tum ko kiya hwa hai keh Allah ki rah main aur en baybas mardo'n aur aurto'n ki khatir nhn lartay jo duaen kiya kerte hain keh ae parwardigaar ham ko es shehr se jiske rehne walay zalim hain nikaal ker kahin aur leja, aur apni taraf se kisi ko hamara haami bana, aur apni he taraf se kisi ko hamara madadgaar bana.
www.haqvoice.com/sms |