Become a member of HaqVoice whatsapp

  • Its Free. Just for the sake of Allah Almighty.
  • Receive Daily Ayat Translation via whatsapp
  • Select your desired language (Roman,English,Urdu)
  • Subcribe for Quran Ayat Translations
  • We'll never share your Mobile No. and Email with anyone.

Note: Quran Ayat via SMS is available on whatsapp Only.
Please Send join request from whatsapp to whatsapp number 00923348090970
 
Example : join urdu ayat to 00923348090970
 
   
 
Sent Date
Message
16-Jul-09 Al-Quran P1,S2
27. Jo Allah k iqraar ko mazboot kernay k baad tor' detay hain aur jis cheez yehni rishta qrabat kay joray rakhnay ka Allah ne hukam diya hai usko qata'a kiyeh daltai hain aur zamin main kharabi kertay hain yahi loag nuqsaan uthanay walay hain.
www.haqvoice.com/sms
15-Jul-09 Al-Quran P1,S2
26. Allah es baat se aar nhin krta keh machhar ya us sai barh ker kisi cheez maslan makhhi, makri waghaira ki misaal biyan fermayai, Ab jo moman hain wo yaqin kertai hain keh wo unk perwerdigar ki taraf se sach hai aur jo kafir hain wo kehtai hain keh es misal se Allah ki murad he kiya hai, es sai Allah bahuto'n ko gumrah kerta hai aur bahuto'n ko hadayet bakhshta hai aur gumrah bhe kerta hai tu naafermano'n he ko.
www.haqvoice.com/sms
14-Jul-09 Al-Quran P1,S2
25. Aur jo loag emaan laae aur naik amal kertai rahai un ko khushkhabri suna do keh un k liyeh ni'amat k baagh hain jin k nichai nehrain beh rahi hain jab unhain un main se kisi kisam ka maiwa diya jae ga tu kahain gai keh yeh tu wohi hai jo ham ko pehlai diya giya tha, aur unko ek dosrai k hamshakal maivai diyeh jaein gai aur wahan unk liyeh paak biviyaan hongi aur wo behishto'n main hamesha rahai gai.
www.haqvoice.com/sms
13-Jul-09 Al-Quran P1,S2
23. Aur ager tum ko es kitab main jo ham ne apne bandai per nazal fermae hai kuchh shak ho tu es tarah ki ek surat tum bhe bana lao aur Allah k siwa jo tumharai madadgaar hein unko bhe bulaa lao agar tum sachai ho.
24. Phir agar aisa na ker sako aur her giz nhin ker sako gai tu us aag se daro jis ka eindhan aadmi aur phathar hongai aur jo kafro'n k liyeh tayar ki gae hai.
www.haqvoice.com/sms
12-Jul-09 Al-Quran P1,S2
22. Jis ne tumharai liyeh zamin ko bichhoana aur aasman ko chhat banaya aur aasman se baarish barsa ker tumharai khaanai k liyeh anwa-o-aqsaam k mevai paida kiyeh, pss Allah k saath kisi ko sharik na banao, aur tum jantai tu ho.
www.haqvoice.com/sms
11-Jul-09 Al-Quran P1,S2
21. Logo! apne perwardigar ki ibadat karo jis ne tumko aur tumse pehlai logo'n ko paida kiya takeh tum uske azab se bacho.
www.haqvoice.com/sms
09-Jul-09 Al-Quran P1,S2
20. Qareeb hai keh bijli ki chamak unki aankho'n ki bsarat ko uchak lai jae, jab bijli chamakti aur un per roshni dalti hai tu us main chal pertai hain aur jab andhera ho jata hai tu kharai k kharai reh jatai hain, aur agar Allah chahta tu unk kano'n ki shunwae aur aakho'n ki benaae dono'n ko zayel ker daita, bilaa shuba Allah her cheez per qaadir hai.
www.haqvoice.com/sms
08-Jul-09 Al-Quran P1,S2
19. Ya un ki misal barish ki c hai keh aasmaan se baras rahi ho aur us main andherai per andhera chha raha ho aur baadal garaj raha ho aur bijli koand rahi ho tu yeh karak se dar ker moat ke khoaf se kano'n main ungliyan dai lain aur Allah kafro'n ko her taraf se ghairai hovai hai.
www.haqvoice.com/sms
07-Jul-09 Al-Quran P1,S2
17. Unki misal us shakhs ki c hai jis ne shab tarik main aag jalae, jab aag ne usk ird gird ki chezein roshan kein tu Allah ne un logo'n ki roshni zayel ker di aur unko andhero'n main chhor diya keh kucch nhin dekhtai.
18. Yeh behrai hain, go'ngai hain, andhai hain keh kisi tarah sidhai rastai ki taraf loa't he nhin sktai.
www.haqvoice.com/sms
06-Jul-09 Al-Quran P1,S2
16. Yeh wo loag hain jinho'n ne hadayet chhor ker gumrahi kharidi tu na tu unki tijarat he ne kuchh nafa diya aur na yeh hadayet yab he hovai.
www.haqvoice.com/sms
05-Jul-09 Al-Quran P1,S2
14. Aur yeah loag jab momino'n se miltai hain tu kehtai hain keh hum aiman lai aae hain aur jab apne shaitano'n mein jatai hain tu unse kehtai hain keh ham tumharai saath hain aur muslimano'n se tu hansi kiya krtai hain.
15. En munafiqo'n se Allah hansi krta hai aur unhain muhlat diyeh jata hai keh shrarat wa sarkashi main parai behak rahai hain.
www.haqvoice.com/sms
03-Jul-09 Al-Quran P1,S2
13.Aur jab unse kaha jata hai keh jiss tarah aur log aiman lai aae tum bhe aiman lai aao tu kehtai hain bhala jis tarah bewqoof aiman lai aae hain esi tarah hum bhe aiman lai aaen, sun lo keh yahi bewqoof hain laikun nhin jaantai.
www.haqvoice.com/sms
02-Jul-09 Al-Quran P1,S2
10. Unk dilo'n main kufar ka marz tha Allah ne un ka marz aur ziyada ker diya aur unk jhoot bolne k sbab' unko dukh denai wala azab ho ga.
11. Aur jub unse kaha jata hai keh zamin mein fasad na dalo tu kehte hain hum tu islah krne walai hain.
12. Dekho yeh bila shuba mufsid hain laikun khabar nhin rakhtai.
www.haqvoice.com/sms
30-Jun-09 Al-Quran P1,S2
8. Aur ba'z loag aesai hain jo kehtai hain keh hum Allah per aur rozai aakhar per aiman rakhtain hain, halankeh wo nhin rkhtai.
9. Yeh apne khiyal main Allah ko aur momino'n ko dhoka detai hain, Magar haqiqat main apne siwa kisi ko dhoka nhn detai aur es sai bekhabar hain.
www.haqvoice.com/sms
29-Jun-09 Al-Quran P1,S2
6. Jo loag kafir hain unhain tum nasihat karo ya na karo un k liyeh brabar hai, wo eman nhn lanai k.
7. Allah ne unk dilo'n aur kano'n per mohar laga rakhi hai, unki ankho'n per parda para hova hai aur unk liyeh bara azab tyar hai.
www.haqvoice.com/sms
28-Jun-09 Al-Quran P1,S2
3. Jo ghaib per eman latai aur adab k sath nimaz perhtai aur jo kucch humne un ko ata fermaya us main se kharch krte hain.
4. Aur jo kitab ae paighamber aap per nazil hovi aur jo kitabain tumse pehlai paighambrn per nazil hovien sab per aiman latai aur aakhrat per yaqin rkhtai hain.
5. Yahi loog apne perwardigar ki tarf se aae hovi hadayet per hain, aur yahi log kamyab hon gai.
www.haqvoice.com/sms/?sms=5
27-Jun-09 Al-Quran P1,S2
1.Alim Lam Mim.
2. Yeh kitab yehni Quran Majid es main kuchh shak nhin keh Allah ka kalam hai, perhaizgaron k liyeh rehnuma hai.
www.haqvoice.com
26-Jun-09 Al-Quran P1,S1
7. Un logon k rastai jin per tu apna fazl-o-karam krta raha, na unk jin per ghussai hota raha, aur na gumrahon k. Aamin.
www.haqvoice.com
25-Jun-09 Al-Quran P1,S1
4. Insaf k din ka Hakim hai.
5. Ae perwardigar hum teri he ibadat krtai hai aur tujhi se madad mangnte hain.
6. Hum ko sedhai rastai chala.
www.haqvoice.com
24-Jun-09 Al-Quran P1,S1
1. Shuru Allah k naam lai ker jo bara Mehrban nahayet rehm krne wala hai.
2. Sab tarah ki tareef Allah he k liyeh hai Jo tamam makhlooqat ka Parwardigar hai
3. Bara Mehrban nahayet rehm wala hai.
www.haqvoice.com