Sent Date |
Message
|
29-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
114. Aur es say barh ker zalim koan, jo Allah ki masjido'n main Allah k naam ka zikar kiyai janai ko mana karay aur unki viraani k liyai koshish karay. En logo'n ko haq nhin keh masjido'n main dakhil ho'n magar dartay hovai, en k liyai dunya main ruswae hai aur akhrat main bara azaab.
www.haqvoice.com/sms |
28-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
113. Aur yahudi kehtay hain keh esayi rastay per nhin aur esayi kehtay hain keh yahudi rastay per nhin halankeh wo kitab-e-ilahi parhtay hain. Esi tarha bilkul inhi ki si baat wo loag kehtay hain jo kuchh nhin jantay yehni mushrik. To jis baat main yeh loag ikhtilaaf ker rahai hain Allah qiyamat k din es ka en main faisla ker day ga.
www.haqvoice.com/sms |
27-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
112. Haan kyn nhin jo shakhs Allah k aagay gardan jhuka dai yehni eman lay ayai aur wo naiko kaar bhe ho to uska sila uskay parwardigaar k paas hay aur aisay logo'n ko qiyamat k din nah kisi tarha ka khoaf hoga aur nah wo ghamnaak hongay.
www.haqvoice.com/sms |
23-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
111. Aur yahudi aur isayee kehtay hain keh yahudiyon aur isayo'n kay siwa koe behshat main nhin janay ka yeh un logo'n k khiyalat baatal hain ae payghamber en say keh do keh agar sachay ho tu daleel paysh karo.
www.haqvoice.com/sms |
22-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
110. Aur namaz adaa kertay raho aur zakat daytai raho, aur jo bhalaye apnay liyai agay bhayj rakho gay usko Allah k haan paa lo gay, kuchh shak nhin keh Allah tumharay sab kamo'n ko daykh raha hay.
www.haqvoice.com/sms |
21-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
109. Bahut say ehlay kitab apnay dil ki jalan say yeh chahtay hain keh eman la chuknay k ba'ad tum ko phir kafir bana dayn halankeh un per haq zahir ho chuka hay, to tum muaaf ker do aur dar guzar karo, yahan tak keh Allah apna dosra hukam bhaijay, Bay shak Allah her baat per qadir hay.
www.haqvoice.com/sms |
19-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
108. Muslimano'n kiya tum yeh chahtay ho keh apnay payghamber PBUH sai usi tarah kay sawal karo jis tarah kay sawal pehlay Musa say kiyai gayai thay. Aur jis shakhs nay aeman chhor ker us kay badlay kufr liya to yaqinan wo sidhay rastay say bhatak giya.
www.haqvoice.com/sms |
17-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
107. Kiya tumhain maloom nhin keh asmano'n aur zamin ki saltanat Allah he ki hay Aur Allah k siwa tumhara koe dost aur madadgaar nhin.
www.haqvoice.com/sms |
16-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
106. Hum jis ayat ko mansookh ker daytai hain ya usay framosh kara daytai hain tu us sai behtar ya waisy he aur ayat bhayj daytai hain kiya tum nhin jantay keh Allah her baat per qadir hay.
www.haqvoice.com/sms |
15-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
105. Jo loag kafir hain ahle kitab ya mushrik wo es baat ko pasand nhin kertay keh tum logo'n per tumharai perwardigar ki taraf se khairo barkat nazil ho aur Allah tu jiss ko chahta hay apni rehmat k saath khaas ker layta hay. Aur Allah baray fazal ka malik hay.
www.haqvoice.com/sms |
14-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
104. Ae ehlay aeman guftagu k waqt payghamber PBUH say ra'na na kaha karo. Unzurna kaha karo, aur khoob sunn rakho aur kafiro'n k liyeh dukh daynai wala azab hai.
www.haqvoice.com/sms |
13-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
103. Aur agar wo aeman latay aur perhayzgari kertay to Allah k haan say bahut achha sila milta. Kiya achha hota jo wo es say waqif hotay.
www.haqvoice.com/sms |
12-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2 [Part II]
102. Aur wo dono'n kisi ko kucch nhin sikhatay thai aur jab tak yeh na ke'h daytai keh ham tu zaria azmayesh hain. Tum kufar main na paro. Gharz loag un se wo cheez sikhtay jis say miyan biwi main judai daal dayn. Aur Allah kay hukam kai siwa wo us cheez sai kisi ka kucch nhin bigaar saktay thai. Aur kuchh aisay mantar seekhtay jo unko nuqsaan he pahunchatay thay aur fa'ida kuchh na daytai aur wo jantay thay keh jo shakhs aisi cheezo'n yehni sehr aur manter waghera ka kharidar ho ga us ka aakhrat main kuchh hissa nhin aur jis cheez kay iwaz unhon nay apni jaano'n ko baych dala wo buri thi. Kiya achha hota jo wo es baat ko mantay.
www.haqvoice.com/sms |
11-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2 [Part I]
102. Aur en cheezo'n k pichai lag gayai jo suleman kay ehd saltanat main shaytan parha kertay thai aur suleman nai matlaq kufar ki baat nhin ki balkeh shaytan he kufar kertay thay keh logo'n ko jadu sikhatay thay aur wo yehni bani israeel en bato'n kay pichhai lag gae jo shehr babal main do farishto'n yehni haroot aur maroot per utrien thein.[to be continue] |
09-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
101. Aur jab unk pass Allah ki taraf se payghamber akhruz-zaman aye aur wo unki aasmani kitabo'n ki tasdiq bhe kertay hain to jin logo'n ko kitab di gaye thi un main sai ek jamat ne Allah ki kitab ko peith pichhay phhaynk diya goya wo jantay he nhin.
www.haqvoice.com/sms |
08-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
100. Un logo'n ne jab jab Allah se koe ehad kiya to un main se ek fareeq nay usko kisi cheez ki tarha phaynk diya. Haqiqat yeh hai keh en main se aksar bay eman hain.
www.haqvoice.com/sms |
07-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
99. Aur ham nay tumharai pass suljhi hovi ayatain arsal fermayein hain aur en se inkaar wohi kertai hain jo badkirdar hain.
www.haqvoice.com/sms |
06-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
98. Jo shakhs Allah ka aur uskai farishto'n ka aur uskai payghambro'n ka aur jibraeel ka aur maykaeel ka dushman ho to aisay kafiro'n ka Allah dushman hay.
www.haqvoice.com/sms |
05-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
97. Ke'h do keh jo shakhs jibraeel ka dushman ho usko gussai main mar jana chahyeh kynkeh usne tu yeh kitab Allah k hukam se tumharai dil per nazil ki hai jo pehli kitabo'n ki tasdiq kerti hai aur aeman walo'n k liyai hadayet aur basharat hai.
www.haqvoice.com/sms |
04-Oct-09 |
Al-Quran P1,S2
96. Aur unko tum aur logo'n se zyada zindagi k harees dekho gay yaha tak keh mushriko'n se bhe bar'h ker, en main se har ek yahi khuwahish kerta hai keh kaash wo hazar baras jeeta rahai magar itni lambi umer usko mil bhe jae tu usai azab se tu nhin chhura sakti aur jo kaam yeh kertay hain Allah unko dekh raha hai.
www.haqvoice.com/sms |