Sent Date |
Message
|
03-Sep-09 |
Al-Quran P1,S2
74. Phir us k ba'ad tumharay dil sakht ho gae. goya wo pathar hain ya un se bhe ziyada sakht aur pathar to ba'azai ayesay hotay hain keh un main se chashmain phhoot nikaltay hain aur ba'azay aesy hotay hain keh phhat jaatay hain aur un main se paani nilkalnay lagta hay aur ba'azay aesay hotay hain keh Allah k khoaf se gir partay hain aur Allah tumharay kartoto'n se bay khabar nhn.
www.haqvoice.com/sms |
01-Sep-09 |
Al-Quran P1,S2
73. Chunancheh ham ne kaha keh es bayl ka koe sa tukra maqtool ko maro, es tarha Allah murdo'n ko zinda kerta hay, aur tum ko apni qudrat ki nishaniyan dikhata hay takeh tum samjho.
www.haqvoice.com/sms |
31-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
72. Aur jab tum nay aik shakhs ko qatal kiya tu us main baham jhagarnay lagay, halankeh jo baat tum chhupa rahai thay Allah usko zahir krnay wala tha.
www.haqvoice.com/sms |
29-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
71. Musa ne kaha keh Allah farmata hai keh wo bayl kaam main laga hova na ho. Na tu zamin jot'ata ho na khayti ko paani dayta ho. Bai ae'ab ho us main kisi tarha ka dagh na ho. kehnay lagay ab tum nay sab batain darust bata dein, gharz bari mushkil se unho'n nay us bayl ko zabah kiya. jabkeh wo aisa kernay walai lagtai na thay.
www.haqvoice.com/sms |
28-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
70. Unho'n nay kaha keh apnay parwardigar se phir darkhuwast kijiyai keh ham ko bata day keh wo aur kis kis tarha ka ho kynkeh bahut say bayl hamain ek dosray k mashabeh maloom hotay hain aur Allah ne chaha tu hamain theik baat maloom ho jayai gi.
www.haqvoice.com/sms |
27-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
69. Unho'n nay kaha keh apnay parwardigar se darkhowast kijiyai keh ham ko yeh bhe bata day keh us ka rang kaisa ho, musaa nay kaha keh parwardigar farmata hay keh us ka rang gehra zard ho keh dekhnay walo'n kay dil ko khush ker dayta ho.
www.haqvoice.com/sms |
25-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
68. Unho'n nay kaha keh apnay parwardigar se iltija kijiyai keh wo hamain batayai keh wo bayl kis tarha ka ho. Musa nay kaha parwardigar farmata hai keh wo bayl na tu bor'ha ho na bachhra ho balkeh unk darmiyan yehni jawan ho so jaisa tum ko hukam diya giya hai waisa karo.
www.haqvoice.com/sms |
24-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
67. Aur jab Musa nay apni qoam kay logo'n se kaha keh Allah tum ko hukam dayta hai keh aik bayl zabah karo. Wo bolay kiya tum ham se hansi kertay ho? Musa nay kaha keh main Allah ki panah maangta hn keh nada'n bano'n.
www.haqvoice.com/sms |
23-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
65. Aur tum un logo'n ko khoob jantay ho jo tum main se haftay k din machhli ka shikaar kernay main had se tajawaz ker gaye thay. tu ham ne un se kaha keh zalil-0-khowar bandar ho jao.
66. Aur es qissay ko us waqt k logo'n k liyai aur jo un k ba'ad aanay walay thay ibrat aur perhaiz garo'n k liyai nasihat bana diya.
www.haqvoice.com/sms |
22-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
64. Phir tum us k ba'ad aehd se phir gaye so agar tum per Allah ka fazal aur meharbani na hoti tu tum khasaray main par gaye hotay.
www.haqvoice.com/sms |
21-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
63. Aur jab ham ne tum se aehd ker liya aur kohai-toor ko tum per utha khara kiya aur hukam diya keh jo kitab ham ne tum ko de hai es ko zoor se pakray raho aur jo es main likha hay usay yaad rakho takeh azaab se mehfooz raho.
www.haqvoice.com/sms |
20-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
62. Jo loag muslimaan hain ya yahudi ya esayi ya sitara parast yehni koe shakhs kisi qowm-o-mazhab ka ho jo Allah aur rozay qyamat per eman layai ga aur amal nayk karay ga tu aisay logo'n ko un kay amal ka sila Allah kai haan milay ga aur qiyamat k din unko na kisi tarha ka khowf ho ga aur na wo ghamnaak hon gay.
www.haqvoice.com/sms |
19-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
61. Aur jab tum ne kaha keh musaa! ham se aik he khanai per sabar nhin ho sakta. toa apnay parwardigaar se duaa kijiyai keh tarkari aur kakri aur gehyun aur masoor aur piyaz waghaira jo nabatat zamin say ugti hain hamaray liyai paida ker day. unho'n nay kaha keh umda chezein chhor ker en k badlay naqas chezein kyun chahtay ho agar yahi chezein matloob hain tu kisi shehr main jaa utro wahan jo mangtay ho mil jayai ga aur aakhar kaar zillat-o-ruswayi aur mohtaji-o-bay nawayi unse chimta di gayi aur wo Allah k ghazab main giraftaar ho gayai, yeh es liyai keh wo Allah ki ayato'n se inkaar kertay thay aur us kay nabyo'n ko naahaq qatal ker daytai thay yehni es liyeh keh nafarmani kiyai jaatay aur had se barhay jaatay thay.
www.haqvoice.com/sms |
18-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
60. Aur jab musaa ne apni qoam k liyai ham se paani maanga tu ham ne kaha apni lathhi pathar par maaro unho'n nay lathhi maari tu us main se barah chashmain phhoot niklay aur tamam logo'n nay apna apna ghhaat maloom ker k paani pe liya ham nay hukam diya keh Allah ki ataa fermayi hovi rozi khao aur pio aur zamin main fasaad na kertai phhirna.
www.haqvoice.com/sms |
17-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
59. To jo zalim thay unho'n nay us lafz ko jis ka unko hukam diya gya tha badal ker us ki jaga aur lafz kehna shuru kya pss ham ne un zalimo'n per asman se azab nazil kiya kynkeh nafermaniyan kiyai jatai thai.
www.haqvoice.com/sms |
16-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
58. Aur jab ham ne unse kaha keh es gao'n main dakhal ho jao aur us main jahan se chaho khoob khao piyo aur daikhna derwazai main dakhal hona sajda kertay hovay aur (HiTTah) baksh day kehna ham tumharai gunah muaaf ker dain gay aur nayki kernay walo'n ko aur ziyadah dain gay.
www.haqvoice.com/sms |
15-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
57. Aur ham ne badal ka tum per saya kiyai rakha aur tumharay liyai mann-o-salwa utartay rahay keh jo pakeza chezain ham ne tum ko ataa farmayen hain unko khao piyo magar tumharay bazurgo'n nay en ne'amto'n ki kucch qadar na jani aur wo hamara kucch nhin bigartay thay balkeh apna he nuqsaan kertay thay.
www.haqvoice.com/sms |
13-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
55. Aur jab tum ne musaa se kaha keh musaa jab tak ham Allah ko samnay na daikh lain gay tum per eman nhin layen gai tu tum ko bijli nay aa ghaira aur tum daikh rahai thay.
56. Phir moat aa janai k baad ham ne tum ko az sar no zinda ker diya takeh tum ahsan manoo.
www.haqvoice.com/sms |
12-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
54. Aur jab musaa nay apni qowm k logo'n se kaha keh bhayo tum nay bachhray ko ma'bud thehranay main apni jano'n per zulm kiya hay, tu apnay paida kernay walay k aagay towba karo phir apno'n ko qatal karo, tumharay khaliq k nazdik tumharay haq main yahi behtar hay phir us nay tumhara qasur muaaf ker diya wo bayshak bara muaaf kernay wala hay bara mehrban hay.
www.haqvoice.com/sms |
11-Aug-09 |
Al-Quran P1,S2
53. Aur jab ham nai'n musaa ko kitab aur moa'jzay anaayat kiyai takeh tum hadayat hasal karo.
www.haqvoice.com/sms
|