Become a member of HaqVoice whatsapp

  • Its Free. Just for the sake of Allah Almighty.
  • Receive Daily Ayat Translation via whatsapp
  • Select your desired language (Roman,English,Urdu)
  • Subcribe for Quran Ayat Translations
  • We'll never share your Mobile No. and Email with anyone.

Note: Quran Ayat via SMS is available on whatsapp Only.
Please Send join request from whatsapp to whatsapp number 00923348090970
 
Example : join urdu ayat to 00923348090970
 
   
 
Sent Date
Message
26-Mar-12 Al-Quran P4,S4
18. aur aisay logo'n ki toba qabool nhn hoti jo sari umar burai kaam kerte rahain yaha'n tak keh jab un main se kisi ki moat aa jaye tu us waqt kehne lagai keh ab main toba kerta hn aur unki toba qabool nhn hoti, jo kufar ki halaat main marain aisay logo'n k liyai ham ne dardnaak azab tayyaar ker rakha hai.
www.haqvoice.com/sms
25-Mar-12 Al-Quran P4,S4
17. Allah unhi logo'n ki toba qabool fermata hai jo nadani se buri harkat ker bethtai hain, phir jald toba ker letai hain, pss aisay logo'n per Allah towajje kerta hai aur wo sab kuchh jan'anai wala hai hikmat wala hai.
www.haqvoice.com/sms
14-Mar-12 Al-Quran P4,S4
16. aur jo do mard tum main se badkari karain tu unko taklef do phir agar wo toba ker lain aur naiko kaar ho jayen tu unka pechha chhor do, beshak Allah toba qabool kerne wala hai mehrbaan hai.
www.haqvoice.com/sms
13-Mar-12 Al-Quran P4,S4
15. muslimano'n! tumhari aurto'n main jo badkari ka irtikaab ker bethain un per apne logo'n main chaar shakhso'n ki shahadat lo agar wo unki badkari ki guwahi dain tu un aurto'n ko gharo'n main band rakho yaha'n tak keh moat unka kaam tamam ker dai, ya phir Allah un k liyai koe aur sabeel payda karai.
www.haqvoice.com/sms
12-Mar-12 Al-Quran P4,S4
14. aur jo Allah aur usk rasool ki nafarmani karai ga aur uski hado'n se nikal jayai ga usko Allah dozakh main dalai ga jaha'n wo hamesha rahai ga aur usko zillat ka azaab ho ga.
www.haqvoice.com/sms
10-Mar-12 Al-Quran P4,S4
13. yeh tamaam ahkaam Allah ki hadain hain aur jo shakhs Allah aur usk payghamber ki fermabardary karai ga Allah usko behishto'n main dakhil karai ga, jin main nehrein beh rahi hain wo en main hamesha rahain gai aur yeh bari kamyabi hai.
www.haqvoice.com/sms
08-Mar-12 Al-Quran P4,S4
12-III. aur agar aisai mard ya aurat ki meraas ho jis ka na baap ho na beta magar us k bhai ya behn ho tu un main se har ek ka chhata hissa hai aur agar ek se ziyada hn tu sab ek tehaye main shareek hn gai yeh hissai bhe adaye wasiyat aur qaraz bashartekeh un se mayyat ne kisi ka nuqsaan na kiya ho, taqseem kiye jayein gai, yeh Allah ka ferman hai aur Allah nahayet ilam wala hai, burdbaar hai.
www.haqvoice.com/sms
07-Mar-12 Al-Quran P4,S4
12-II. aur jo maal tum mard chhor maro, agar tumhare aulad na ho tu tumhari bewyun ka es main chotha hissa hai, phir agar tumhari aulad ho tu un ka athwa'n hissa hai, yeh hisse tumhari wasiyat ki tameel k ba'ad jo tumne ki ho, aur adaye qaraz k ba'ad kiye jayen gai....[TBC]
www.haqvoice.com/sms
06-Mar-12 Al-Quran P4,S4
12-I. aur jo maal tumhari bewyan chhor marein, agar un k aulad na ho tu us main se nisf hissa tumhara hai, phir agar un k aulad ho tu tarke main tumhara hissa chothaye hai, laykun yeh taqseem wasiat ki ta'meel k ba'ad jo unho'n ne ki ho ya qaraz ada honai k ba'ad jo unk zimme ho, ki jaye gi...[TBC]
www.haqvoice.com/sms
25-Feb-12 Al-Quran P4,S4
11-III. aur yeh taqseem tarkah mayyat ki wasiyat ki ta'meel k ba'ad jo us ne ki ho ya qaraz k ada honai k ba'ad jo us k zimma ho amal main aye gi, tum ko maloom nhn keh tumharai baap dado'n aur beto'n poto'n main se fa'iday k lihaaz se koan tum se ziyada qareeb hai yeh hissai Allah ka muq'ar kiyai hvai hain aur Allah sab kuchh jan'ane wala hai hikmat wala hai.
www.haqvoice.com/sms
23-Feb-12 Al-Quran P4,S4
11-II. aur mayyat k maan baap ka yeni dono main se har ek ka tarke main chhata hissa hai, bashartekeh mayyat k aulad ho aur agar aulad na ho aur sirf maan baap he us k waris hn tu ek tihaye maan ka hissa hai aur agar mayyat k bhai bhe hn tu maan ka chhata hissa ho ga..[TBC]
www.haqvoice.com/sms
22-Feb-12 Al-Quran P4,S4
11-I. Allah tumhari aulad k bare main tum ko irshad fermata hai keh ek larkai ka hissa do larkion k hisse k brabar he aur agar aulad-e-mayyat sirf larkiyan he hn yehni do ya do se ziyada tu tarke main un ka do tahaye hai, aur agar sirf ek larki ho tu uska nisf hai..[TBC]
www.haqvoice.com/sms
20-Feb-12 Al-Quran P4,S4
10. jo loag yatimo'n ka maal najayez toar per khatai hain wo apne pait main aag bharte hain aur zaroor dozakh main dalai jayen gai.
www.haqvoice.com/sms
19-Feb-12 Al-Quran P4,S4
9. aur aise logo'n ko darna chahye jo aisy halat main hn keh apne ba'ad nanhe nanhe bache chhoar jayen aur un ko un ki nisbat khoaf ho keh hamare marne k ba'ad en bicharo'n ka kiya ho ga pss yeh loag Allah se daren aur darust baat kahen.
www.haqvoice.com/sms
18-Feb-12 Al-Quran P4,S4
8. aur jab meraas ki taqseem k waqt ghair waris rishta daar aur yateem aur nadaar loag aa jayen tu unko bhe us main se kuchh de do, aur un se maqool baat kaho.
www.haqvoice.com/sms
17-Feb-12 Al-Quran P4,S4
7. jo maal maan baap aur rishte daar chhor marein thora ho ya bahut us main mardo'n ka bhe hissa he aur aurto'n ka bhe, yeh hisse Allah k muqar'ar kiye hve hain.
www.haqvoice.com/sms
16-Feb-12 Al-Quran P4,S4
6-II. aur jo shakhs asoda haal ho us ko aisay maal se qat'ae toar per perhaiz rakhna chahye aur jo zarurat mand ho wo munasib toar per yehni baqadre khidmat kuchh le le, aur jab unka maal unk hawale kerne lago tu guwah ker liya karo aur haqiqat main tu Allah he guwah aur hisab lene wala kafi hay.
www.haqvoice.com/sms
15-Feb-12 Al-Quran P4,S4
6-I. aur yatimo'n ko baligh honai tak kaam kaaj main masroof rakho aur janchte raho aur phir baligh hone per agar un main aqal ki pukhtagi dekho tu unk maal unk hawale ker do, aur es khoaf se keh wo bare ho jayen ge yehni bare ho ker tum se apna maal wapis le lain ge usko fazul kharchi aur jaldi main na urana..[TBC]
www.haqvoice.com/sms
14-Feb-12 Al-Quran P4,S4
5. aur kam aqlo'n ko un k maal jise Allah ne tum logo'n k liyai ma'eshiyat ka saba'b banaya hai mat do, haan us main se un ko khilate aur pehnate raho aur unse ma'qool baat kehte raho.
www.haqvoice.com/sms
13-Feb-12 Al-Quran P4,S4
4. aur aurto'n ko un kai mehr khushi se de diya karo haan agar wo apni khushi se us main se kuchh tum ko chhor dain tu usai mazai se kha lo.
www.haqvoice.com/sms