Sent Date |
Message
|
12-Jan-12 |
Al-Quran P4,S3
182. yeh un kamo'n ki sa'zaa hai jo tumharai haath agai bhejtai rhai hain aur Allah tu bando'n per matlaq zulm nhn kerta.
www.haqvoice.com/sms |
11-Jan-12 |
Al-Quran P4,S3
181. Allah ne un logo'n ka qoal sunn liya jo kehtai hain keh Allah faqir hai aur ham maaldaar hain yeh jo kuchh ketai hain ham us ko likh lain gai aur payghambro'n ko jo yeh nahaq qatal kertai rhai hain us ko bhe qalam band ker rakhain gai aur qiyamat kai roz kahain gai keh sakht jalan wali aag kai azaab kai mazai chakhtai raho.
www.haqvoice.com/sms |
09-Jan-12 |
Al-Quran P4,S3
180. jo loag maal main jo Allah ne apne fazal se unko ata fermaya hai bukhal kertai hain wo us bukhal ko apne haq main achha na samjhain wo achha nhn balkeh unk liyai bura hai wo jiss maal main bukhal kertai hain qiyamat kai din unka toaq bana ker unki gardano'n main dala jayai ga aur asmano'n aur zamin ka waris Allah he hai aur jo amal tum kertai ho Allah ko maloom hai.
www.haqvoice.com/sms |
07-Jan-12 |
Al-Quran P4,S3
179. logo jab tak Allah napaak ko paak na ker dai ga momino'n ko es haal main jis main tum ho hergiz nhn rehne dai ga aur Allah tum ko ghayeb ki bato'n se bhe aagah nhn karai ga, albattah Allah apne payghambro'n main se jisai chahta hai muntakhib ker laita hai so tum Allah per aur us kai rasulo'n per emaan rakho aur agar emaan per qayem raho gai aur perhaizgari karo gai tu tum ko ajar azeem milai ga.
www.haqvoice.com/sms |
06-Jan-12 |
Al-Quran P4,S3
178. aur kafir loag yeh khiyal na karain keh ham jo unko mohlat diyai jatai hain tu yeh unkai haq main achha hai nhn balkeh ham unko es lyai mohlat detai hain keh aur gunah ker lain aakhir kaar unko zalil kernai wala azab ho ga.
www.haqvoice.com/sms |
05-Jan-12 |
Al-Quran P4,S3
177. jin logo'n ne emaan kai badlai kufar kharida wo Allah ka kuchh nhn bigaar saktai aur unko dukh denai wala azab ho ga.
www.haqvoice.com/sms |
03-Jan-12 |
Al-Quran P4,S3
176. aur jo loag kufar main jaldi kertai hain unki waja se ghamgeen na hona, yeh Allah ka kuchh nuqsaan nhn ker saktai, Allah chahta hai keh aakhrat main unko kuchh hissa na dai aur unkai liya bara azab tayyar hai.
www.haqvoice.com/sms |
29-Dec-11 |
Al-Quran P4,S3
175. yeh khoaf dilanai wala tu shaytan hai jo apne dosto'n se drata hai, tu agar tum momin ho tu un se mat darna aur mujhi se dartai rehna.
www.haqvoice.com/sms |
28-Dec-11 |
Al-Quran P4,S3
174. phir wo Allah ki ne'amto'n aur us kai fazal kai sath khush-o-khuram wapis ayai unko kisi tarha ka za'rar na pahuncha aur wo Allah ki khushnodi kai tabai rhai aur Allah barai fazal ka maalik hai.
www.haqvoice.com/sms |
27-Dec-11 |
Al-Quran P4,S3
173. jab un se logo'n ne aa ker biyan kiya keh kuffaar ne tumharai muqabilai kai liyai lashkar kaseer jama kiya hai tu un se daro, tu unka emaan aur ziyada ho giya aur kehne lagai ham ko Allah kafi hai aur wo bahut achha sazgaar hai.
www.haqvoice.com/sms |
26-Dec-11 |
Al-Quran P4,S3
172. jinho'n ne ba'wajood zakham khanai kai Allah aur Rasool kai hukam ko qabool kiya, jo loag un main naykokaar aur perhaizgaar hain un kai liyai bara sawab hai.
www.haqvoice.com/sms |
25-Dec-11 |
Al-Quran P4,S3
171. aur Allah kai inamaat aur fazal se khush ho rhai hain aur es se keh Allah momino'n ka ajar zaya nhn kerta.
www.haqvoice.com/sms |
24-Dec-11 |
Al-Quran P4,S3
170. jo kuchh Allah ne unko apne fazal se bakhsh rakha hai us main khush hain aur jo loag un kai pechhai reh gae aur shaheed ho ker un main shamil nhn ho sakai un ki nisbat khushyan mana rahai hain aur qiyamat kai din unko bhe na kuchh khoaf ho ga aur na wo ghamnaak hn gai.
www.haqvoice.com/sms |
23-Dec-11 |
Al-Quran P4,S3
169. jo loag Allah ki rah main maarai gae unko marai hvai na samajhna wo marai hvai nhn hain balkeh Allah kai nazdik zinda hain aur unko rizq mil raha hai.
www.haqvoice.com/sms |
22-Dec-11 |
Al-Quran P4,S3
168. yeh khud tu jang se bach ker bayeth he rahai thai magar jinho'n ne Allah ki rah main janain qurban ker dein apne un bhaiyun kai barai main bhe kehtai hain keh agar hamara kaha mantai tu qatal na hotai kehdo keh agar sachai ho tu apne oper se moat ko taal dena.
www.haqvoice.com/sms |
21-Dec-11 |
Al-Quran P4,S3
167. aur munafiqo'n ko bhe maloom ker lai aur jab un se kaha giya keh ao Allah kai rastai main jang karo ya kafiro'n kai hamlo'n ko roko, tu kehne lagai keh agar ham ko larae ki khabar hoti tu ham zarur tumharai sath rehtai, yeh us din emaan ki nisbat kufar se ziyada qarib thai, mhn se wo batain kehtai hain jo unkai dil main nhn hain, aur jo kuchh yeh chhupatai hain Allah us se khoob waqif hai.
www.haqvoice.com/sms |
19-Dec-11 |
Al-Quran P4,S3
166. aur jo musibat tum dono'n jama'ato'n kai muqablai kai din waqai hvi so Allah kai hukam se waqai hvi aur us se yeh maqsood tha keh Allah momino'n ko achhi tarah maloom ker lai.
www.haqvoice.com/sms |
18-Dec-11 |
Al-Quran P4,S3
165. bhala yeh kiya baat hai keh jab uhad kai din kuffaar kai hath se tum per musibat waqai hvi halankeh jang-e-badar main es se dugni musibat tumharai hath se un per par chucki hai tu tum kehne lagai keh yeh aafat ham per kaha'n se aa pari kehdo keh yeh tumhari he shamt-e-a'amal hai keh tum ne payghamber kai hukam kai khilaf kiya bayshak Allah her cheez per qadir hai.
www.haqvoice.com/sms |
17-Dec-11 |
Al-Quran P4,S3
164. Allah ne yaqinan momino'n per ahsaan kiya hai keh un main unhi main se ek payghamber bhaijai jo unko Allah ki ayetain parh parh ker sunatai aur unko paak kertai aur unhain kitab wa hikmat ki taleem detai aur pehlai tu yeh loag khuli gumrahi main thai.
www.haqvoice.com/sms |
16-Dec-11 |
Al-Quran P4,S3
163. sab logo'n kai Allah kai haan mukhtalif darjai hain aur Allah un kai sab a'maal daikh rha hai.
www.haqvoice.com/sms |