Become a member of HaqVoice whatsapp

  • Its Free. Just for the sake of Allah Almighty.
  • Receive Daily Ayat Translation via whatsapp
  • Select your desired language (Roman,English,Urdu)
  • Subcribe for Quran Ayat Translations
  • We'll never share your Mobile No. and Email with anyone.

Note: Quran Ayat via SMS is available on whatsapp Only.
Please Send join request from whatsapp to whatsapp number 00923348090970
 
Example : join urdu ayat to 00923348090970
 
   
 
Sent Date
Message
26-May-12 Al-Quran P5,S4
34-II. aur jin aurto'n ki nisbat tumhain maloom ho keh sarkashi aur badkhoe kerne lagi hain tu pehle unko zubani samjhao. agar na samjhe tu unk sath sona tark ker do agar es per bhe baaz na ayen tu zadokoab karo, phir agar tumhara kehna maan lain tu phir unko ezaa denai ka koe bahana mat dhondo, beshak Allah bahut oncha hai bara hai.
www.haqvoice.com/sms
25-May-12 Al-Quran P5,S4
34-I. mard aurto'n per hakim hain es liye keh Allah ne ba'az ko ba'az se afzal banaya hai aur es liye bhe keh mard apna maal kharch kerte hain, tu jo naik bibyan hain wo ferma'nbardar hoti hain aur unki peith pechai Allah ki hifazat main maalo-abro ki khabardari kerti hain...[TBC]
www.haqvoice.com/sms
21-May-12 Al-Quran P5,S4
33. aur jo maal maa'n baap aur rishta daar chhor marain tu haqdaro'n main taqseem ker do keh ham ne her ek k haqdaar muqar'ar ker diye hain, aur jin logo'n se tum ehd ker chukai ho unko bhe unka hissa do, beshak Allah her cheez per nigran hai.
www.haqvoice.com/sms
17-May-12 Al-Quran P5,S4
32. aur jis cheez main Allah ne tum main se ba'az ko ba'az per fazilat di hai uski tamanna mat karo, mardo'n ko un kamo'n ka sawab hai jo unho'n ne kiye aur aurto'n ko un kamo'n ka sawab hai jo unho'n ne kiye aur Allah se uska fazal aur karam mangte raho kuchh shak nhn keh Allah her cheez se waqif hai.
www.haqvoice.com/sms
16-May-12 Al-Quran P5,S4
31. agar tum barai barai gunaho'n se jin se tum ko mana kiya jata hai perhaiz karo gai tu ham tumharai chhotai chhotai gunah muaaf ker dain gai aur tumain izzat k makano'n main dakhil karain gai.
www.haqvoice.com/sms
13-May-12 Al-Quran P5,S4
30.aur jo ziyati kerte huway aur zulm se aisa karai ga tu ham usko anqareeb jahanum main dakhil karain gai, aur yeh Allah ko asan hai.
www.haqvoice.com/sms
12-May-12 Al-Quran P5,S4
29. momino'n ek dosre ka maal nahaq na khao, haan agar aapis ki raza mandi se tijarat ka lain dain ho aur us se maali fayeda hasil ho jaye tu wo jayez hai aur apne aap ko halaak na karo, kuchh shak nhn keh Allah tum per mehrbaan hai.
www.haqvoice.com/sms
11-May-12 Al-Quran P5,S4
28. Allah chahta hai k tum per se bojh halka karai aur insaan taba'an kamzor payda huwa hai.
www.haqvoice.com/sms
10-May-12 Al-Quran P5,S4
27. aur Allah tu chahta hai keh tum per mehrbani karai, aur jo loag apni khuwahisho'n k pichai chalte hain wo chahte hain keh tum sedhe raste se bhatak ker door ja paro.
www.haqvoice.com/sms
06-May-12 Al-Quran P5,S4
26. Allah chahta hai k apni ayetain tum se khol khol ker biyan fermaye aur tum ko aglai logo'n k tariqai bataye, aur tum per mehrbani karai, aur Allah jan'anai wala hai hikmat wala hai.
www.haqvoice.com/sms
04-May-12 Al-Quran P5,S4
25-III. yeh bandi k sath nikah ki ijazt us shakhs ko hai jisai gunah ker bethne ka andesha ho, aur yeh baat k sabr karo tumharai liyai behtar hai aur Allah bakshne wala mehrbaan hai.
www.haqvoice.com/sms
03-May-12 Al-Quran P5,S4
25-II. phir en londiyun k sath en k maliko'n se ijazat hasil ker k nikah ker lo. aur dastoor k mutabiq un ka mehr bhe ada ker do bashartaykeh wo paakdaman hon, na aisi keh khulam khula badkari karain aur na darparda dosti kerna chahain, phir agar wo nikah main aa ker badkari ka irtikaab ker bathain tu jo saza azaad aurto'n k liyai hai uski adhi unko di jaye gi...[TBC]
www.haqvoice.com/sms
30-Apr-12 Al-Quran P5,S4
25-I. aur jo shakhs tum main se momin azaad aurto'n se nikah kerne ka maqdoor na rakhai tu momin bandiyon he se jo tumharai qabzai main aa gae hon nikah ker lai aur Allah tumharai emaan ko achhi tarha janta hai, tum aapis main ek dosrai k ham jins ho...[TBC]
www.haqvoice.com/sms
05-Apr-12 Al-Quran P5,S4
24-II. tu jin aurto'n se tum lutaf andoz hvai unka mehr jo muqar'ar kiya ho ada ker do aur agar muqar'ar kerne k ba'ad aapis ki raza mandi se mehr main kami beshi ker lo tu tum per kuchh gunah nhn, beshak Allah sab kuchh jan'anai wala hai hikmat wala hai.
www.haqvoice.com/sms
04-Apr-12 Al-Quran P5,S4
24-I. aur shohar wali aurtain bhe tum per haraam hain magar wo jo qaid ho ker bandiyon k toar per tumharai qabzai main aa jayen yeh hukam Allah ne tum ko likh diya hai aur en muharramaat k siwa dosri aurtain tum ko halaal hain es tarha se maal kharach ker k unse nikah ker lo bashartaikeh nikah se maqsood iffat qayem rakhna ho na keh shehwat parasti...[TBC]
www.haqvoice.com/sms
31-Mar-12 Al-Quran P4,S4
23. tum per tumhari maayen aur betyan aur behnein aur phophiyan aur khalayen aur bhatijian aur bhanjiyan aur wo maayen jinho'n ne tum ko doodh pilaya ho aur doodh sharik behnain aur sasain haram ker di gayein hain aur jin aurto'n se tum khalwat ker chukai ho unki larkian jinhain tum parwarish kertai ho wo bhe tum per haram hain, haan agar tum ne unk sath khalwat na ki ho tu unki larkiyun k sath nikah ker lene main tum per kuchh gunah nhn, aur tumhare salbi beto'n ki aurtain bhe aur do behno'n ka (ek nikah main) ikatha kerna bhe haram hai, magar jo ho chuka so ho chuka be shak Allah bakhshne wala hai bara mehrbaan hai.
www.haqvoice.com/sms
30-Mar-12 Al-Quran P4,S4
22. aur jin aurto'n se tumharai baap dada ne nikah kiya ho unse nikah na kerna magar jahiliyat main jo ho chuka so ho chuka yeh nahayet be hayae aur Allah ki nakhushi ki baat thi, aur bahut bura dastoor tha.
www.haqvoice.com/sms
29-Mar-12 Al-Quran P4,S4
21. aur tum diya hwa maal kynker wapis lai saktai ho jabkeh tum ek dosre k sath sohbat ker chukai ho aur wo tum se pukhta ehd bhe le chuki hai.
www.haqvoice.com/sms
28-Mar-12 Al-Quran P4,S4
20. aur agar tum ek aurat ko chhor ker dosri aurt krena chaho aur pehli aurat ko dhair sara maal dai chukai ho tu us main se kuchh mat lena, bhala tum buhtaan laga ker aur khula gunah ker k apna maal us se wapis lo gai.
www.haqvoice.com/sms
27-Mar-12 Al-Quran P4,S4
19. momino'n tum ko jayez nhn keh zabardasti aurto'n kai waris ban jao, aur dekhna es niyyat se keh jo kuchh tum ne unko diya hai us main se kuchh le lo unhain gharo'n main mat roak rakhna haan agar wo khulai toar per badkari ki murtakib hn tu aur baat hai aur unk saath achhi tarha se raho saho, phir agar wo tum ko napasand hn tu ajab nhn keh tum kisi cheez ko napasand karo aur Allah us main bahut se bhalae paida ker dai.
www.haqvoice.com/sms