Sent Date |
Message
|
04-Jan-13 |
Al-Quran P5,S4
74. aur jo loag akhrat ko kharidte aur es kay baldlay dunya ki zindagi ko bechna chahte hain unko chahye k Allah ki rah main jang karain, aur jo loag Allah ki rah main jang karay phir shaheed ho jayai ya ghalba payai ham anqareeb usko bara suwab dain gai.
www.haqvoice.com/sms |
30-Dec-12 |
Al-Quran P5,S4
73. Aur agar Allah tum per fazal karay tu es tarah se keh goya tum main aur us main dosti thi he nhn, afsoos kerta aur kehta keh kash main bhe un kay sath hota tu maqsad azeem hasil hota.
www.haqvoice.com/sms |
29-Dec-12 |
Al-Quran P5,S4
72. aur tum main koe aisa bhe hai keh khuwah mukhah dair lagata hai aur pichay reh jata hai, phir agar tum par koe musibat par jaye tu kehta hai keh Allah ne mujh per bari mehrbani ki k main en main mojoad na tha.
www.haqvoice.com/sms |
28-Dec-12 |
Al-Quran P5,S4
71. Momino! jihaad k liye hathyaar lai liya karo phir ya tu jamaat jamaat ho ker nikla karo ya sab ikathai kooch kiya karo.
www.haqvoice.com/sms |
27-Dec-12 |
Al-Quran P5,S4
69. aur jo loag Allah aur us kay Rasool SAW ki ata'at kertay hain wo qiyamat k din un logo'n k sath hn gai jin per Allah ne bara fazal kiya yeni anbiya aur siddique aur shaheed aur salihein, aur en logo'n ki rafaqat bht he khoob hai.
70. yeh Allah ka fazal hai aur Allah jan'nay wala kafi hai.
www.haqvoice.com/sms |
20-Oct-12 |
Al-Quran P5,S4
67. aur es surat main ham unko apne haan se ajar azeem bhe ata fermate.
68. aur unko sedha rasta bhe dikhate.
www.haqvoice.com/sms |
19-Oct-12 |
Al-Quran P5,S4
66. aur agar ham un per faraz ker detay k apne app ko qatal ker dalo ya apne ghar chhor ker nikal jao tu un main se thoray he loag aisa kertay, aur agar yeh us nasihat per kaarband hotay jo unko ki jati hai tu un k haq main behtar aur dein main ziyada sabit qadmi ka mojab hota.
www.haqvoice.com/sms |
18-Oct-12 |
Al-Quran P5,S4
65. pss tumharay parwardigaar ki qasam yeh loag jab tak apne tanaz'aat main tumhain munassif na banayen, aur jo failsa tum ler do us se apne dil main tang na hn balkeh usko khushi se maan lain tab tak momin nhn hn gai.
www.haqvoice.com/sms |
17-Oct-12 |
Al-Quran P5,S4
64. aur ham ne jo bhe payghamber bheja hay esi liye bheja hay keh Allah k ferman k mutabiq uska hukam mana jaye aur yeh loag apne haq main zulm ker bethay thay agar tumharay paas atay aur Allah se bakhshish mangtay aur payghamber bhe un k liye bakhshish talab kertay tu Allah ko bakhshish kerne wala bara mehrbaan patay.
www.haqvoice.com/sms |
10-Oct-12 |
Al-Quran P5,S4
63. unk dilo'n main jo kuchh hai Allah usko khoob janta hai tum unki bato'n ka kuchh khiyal na karo aur unhain nasihat karo aur unse aisy batain kaho jo unk dilo'n main asar ker jayen.
www.haqvoice.com/sms |
09-Oct-12 |
Al-Quran P5,S4
62. phir kaisy nadamat ki baat hai keh jab un k a'amaal ki shamat se un per koe musibat waqai hoti hai tu tumharai paas bhagai atai hain aur qasmain khatai hain keh wallah hamara maqsood tu bhalayi aur masalihat tha.
www.haqvoice.com/sms |
06-Oct-12 |
Al-Quran P5,S4
61. aur jab un se kaha jata hai keh jo hukam Allah ne nazil fermaya us ki taraf raju karo aur payghamber ki taraf ao to tum munafiqo'n ki taraf dekhte ho keh tum se guraiz kerte aur rukai jatai hain.
www.haqvoice.com/sms |
05-Oct-12 |
Al-Quran P5,S4
60.kiya tum ne un logo'n ko nhn dekha ju dawa tu yeh kerte hain keh jo kitab tum per nazil hvi aur jo kitabain tum se pehle nazil huvien un sab per emaan rakhte hain, aur chahte yeh hain keh apna muqaddama Allah k baghi k paas leja ker faisal karayen halankeh unko hukam diya giya tha keh es ko na manain aur shaytan tu yeh chahta hai keh unko behka ker raste se door daal de.
www.haqvoice.com/sms |
04-Oct-12 |
Al-Quran P5,S4
59.momino Allah aur us kay rasul SAW ki farmabardari karo aur jo tum main se sahibe hakumat hain un ki bhe, phir agar kisi baat main tum main ikhtilaaf waqai ho tu agar Allah aur roze akhrat per emaan rkhte ho tu es main Allah aur us k rasul SAW kay hukam ki taraf rajoh karo, yeh bahut achhi baat hai aur es ka anjaam bhe achha hai.
www.haqvoice.com/sms |
03-Oct-12 |
Al-Quran P5,S4
58. muslimano'n Allah tum ko hukam deta hai keh amanat walo'n ki amantain un kay hawalay ker diya karo, aur jab logo'n main faisla kerne lago tu insaaf se faisla kiya karo, Allah tumhain khoob nasihat kerta hai, beshak Allah sunta hai dekhta hay.
www.haqvoice.com/sms |
01-Oct-12 |
Al-Quran P5,S4
57. aur jo loag emaan layai aur amal naik kerte rahay, unko ham bayhishto'n main daakhil karain gai jinn k nichay nehrein beh rahi hain wo en main hamesha hamesha rahain gai, wahan unk liye paak biwyan hn gi, aur unko ham ghane sayai main dakhil karain gai.
www.haqvoice.com/sms |
30-Sep-12 |
Al-Quran P5,S4
56. jin logo'n ne hamari ayato'n se kufar kiya un ko ham ankarib aag main dakhil karain gai, jab kabhi unki khalain gal jayain gi tu ham unko aur khalain badal ker dain gai takeh hamesha azab ka maza chakhte rahain, beshak Allah ghalib hai hikmat wala hai.
www.haqvoice.com/sms |
26-Sep-12 |
Al-Quran P5,S4
55. phir logo'n main se kisi ne tu es kitaab ko mana aur koe es se ruka raha tu en na man'ane walo'n k liye dozakh ki jalti hvi aag kafi hai.
www.haqvoice.com/sms |
24-Sep-12 |
Al-Quran P5,S4
54. ya jo Allah ne logo'n ko apne fazal se de rakha hai uska hasad kerte hain tu ham ne khandan-e-ibrahim ko danayi ata fermayi thi aur saltanat-e-azeem bakhshi thi.
www.haqvoice.com/sms |
22-Sep-12 |
Al-Quran P5,S4
53. kiya en k paas baadshahi ka kuchh hissa hai es surat main tu yeh logo'n ko til brabar bhe na dein gai.
www.haqvoice.com/sms |